Haaye mei ujjar gayi
- Shahid Baltistani (2003)
Haaye mei ujjar gayi
Saamne behn ki ankho ke, gardan pe khanjar chalaaya, ik mazloom pyaase par, zalim ko tars na aaya
(Ha mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haye mei ujjar gayi) x2 Ha mera ujjar gaya garbaar
- (Chali dil pe mere talwaar) x2 Ab mawt ke hai aasaar, haaye mei ujjar gayi nana
- Nana teri ummat ne mere jeene ke sahare cheen liye, is karbobala ke jangal mei, ankho ke sitare cheen liye (Mei bekas mei lachaar) x2 Sab kunbe ki ghamkhaar, haaye mei ujjar gayi nana
- Darya ke kanaare jalta huwa, ghar aaj talak dekha ke suni, quran-e-sar-e-neza nana, parhta huwa sar dekha ke suni (kiya bayyat se inkaar) x2 Bhaayi pe chali talwaar, haaye mei ujjar gayi nana
- Wo shaam-e-gharibaan ka manzar, Bimar ka sholo mei bistar, wo behta huwa kaano(n) se lahu, wo neel Sakina ke rukh par (kaano se lahu ki dhaar) x2 Jab zakhmi the rukhsaar, haaye mei ujjar gayi nana
- Ik sheyr taraayi mei soya, jo aas tha pyaase bacho(n) ki, wo mashk bachaane ki khatir, kurbaani degaya haatho(n) ki (parde ka zimmedaar) x2 Mara gaya aakhir kaar, haaye mei ujjar gayi nana
- Wo zulm bhi dekhe hai mene, jo din ko raat banaa dete, Mei ro na saki aansu mere, paani mei aag laga dete (bhaayi ka tha ye israar) x2 bas sabr meri ghamkhaar, haaye mei ujjar gayi nana
- Shaano(n) pe nishaa(n) hai rassi ke, sogaat safar ye laayi hu, hai dil mei daag-e-bahatar ke, ay nana mei dukh paayi hu (thi sang ki wo bosaar) x2 rota tha alam bardaar, haaye mei ujjar gayi nana
- Wo ibn-e-hassan pamal-e-badan, dulha jo bana ik shab ke liye, maqtal ki zamee(n) par uska badan, ghoro(n) ne kiya tukre tukre (sine pe zakhm hazaar) x2 ik sar ke tukre chaar, haaye mei ujjar gayi nana
- Zainab ki sada har majlis mei, noho(n) ki zubaani aati hai, bibi ki sada dohraata hai, jisse nawha khaani aati hai ("Rehan" mere ashaar) x2 dil-e-zainab ki hai pukaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar

(Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar) x2