Sakina dekh rahi hai
- Imran Datoo (2018)
Ghire hai laakho(n) mein kaise, hussain bekaso tanha, sakina dekh rahi hai
Dare khayam se ran mein, ulat ke khayme ka parda, sakina dekh rahi hai
1. Wo zibha hote huwe baap ko na dekh sake
Meri sakina hai masoom ye khayaal rahe
Sitam ye uspe na dhaana abhi churi na chalana, sakina dekh rahi hai
2. Badan hai teero(n) se chalni hai zakhm zakhm hussain
Bapaa hai khayma-e sarwar mein ek shoro shayn
Kabhi laeen ka khanjar kabhi wo pyaasa gala, sakina dekh rahi hai
3. Gira hai aag ke sholo mein khayma-e sarwar
Haram hussain ke rote hai lut gayi chaadar
Kabhi phuphi ka khula sar kabhi hussain ka khayma, sakina dekh rahi hai
4. Badan ke zakhmo(n) ka marham kahi nahi milta
Adoo hussain ko dete hai kis qadar izaa
Jise batool ne pala sar uska barsare neza, sakina dekh rahi hai
5. Tumhaare laashaa-e be sar ko du(n) kafan kaise
Mujhe bataao zara tum batool ke bete
Hai bekasi ka natija padha hai ret pe laasha, sakina dekh rahi hai
6. Koi yatimo pe aisa sitam nahi karta
Bas ek baar mera haal dekhlo baba
Suno ay shahe zamana kisi ne jo nahi dekha, sakina dekh rahi hai
7. Bayaan karti thi binte hussain ibne ali
Tumhaare baad musibat ki intehaa dekhi
Tumhaare baad ye ghurki, tumhaare baad tamacha, sakina dekh rahi hai
8. Na khench ghurbate shabbir ka koi manzar
Sadaa-e ghayb ye aati hai ajaae qaisar
Nahi hai zabt ka yaara qalam ko rok khudara, sakina dekh rahi hai