Amma kaha gaee
- Imran Datoo (2018)
Hasnain ke labo pe, thi har dam yahi sada, amma kahaa gayee
Baba ali ye kaisa, sitam ham pe hogaya
Amma kahaa gayee
1. Fizza khamosh kyu(n) ho, bataao hai maa kahaa(n)
Tum ro ke ham ko yu(n) na rulaao hai maa kahaa
Veeraan ghar mein kis liye, maatam hai ye bapa
2. Awaaz kyun hame nahi deti jawaab do
Aakar balaae(n) kyun nahi leti, jawaab do
Liptaati kyun nahi hame seene se sayyada
3. Kyun ashk pochti nahi aakar hussain ke
Amma kahaa chali gayi shabbar ke bayn the
Gul markaze rasool ka kyun hogaya diya
4. Koi hame bataaye hai kya sakht waaqiya
Amma dikhaayi deti nahi maajra hai kya
Tareekh ho raha hai jahaa(n) wa musibata
5. Shere khuda ne bacho(n) ko lipta ke ye kaha
Duniya se kooch kar gayi maa gham ki mubtila
Kaise jawaab de tumhe bacho(n) sawaal ka
6. Matam ali ke ghar me bapa tha batool ka
Hasnain padh rahe the ye mayyat pe marsiya
Amma jawaab do tumhe bacho(n) ka waasta
7. Qaiser ye kis tarha se likhe waqiya koi
Bande kafan batool ka khulta tha us ghari
Jab roke puchta tha ye zahra ka ladla