Lo sakina khuda ke hawale
- Imran Datoo (2018)
Ghir ke ghode se mola pukaare, lo sakina khuda ke hawaale
Ab lute ghar ko zainab sambhaale
Ghir ke ghore...
1. Maine asghar ki turbat banaayi, laash akbar ki ran se uthaai
Mere quran ke bikhre hai paare (x2)
Lo sakina khuda ke hawaale
2. Di hai baba ali ne duaai, lene aayi hai maa fatema bhi
Mere bache gaye haaye maare
Lo sakina khuda ke hawaale
3. Laashe qasim ke tukre uthaaye, halqe asghar ne bhi teer khaaye
Suwe jannat hai akbar sidhaare
Lo sakina khuda ke hawaale
4. Dekho sajjad lamba safar hai, aur neze pe baba ka sar hai
Chaadaron ko koi na utaare
Lo sakina khuda ke hawaale
5. Jalte khaymon ka har su dhuaa(n) hai, sehme bachon ki ahoo fughaa(n) hai
Be kafan ret par mere pyaare
Lo sakina khuda ke hawaale
6. Kaise so paayegi ab sakina, meri bachi ko shahe madina
Muh pe koi tamache na maare
Lo sakina khuda ke hawaale
7. Khoon safdar falak ro raha tha, zere khanjar zibah ho raha tha
Sadqe jiske ali ne utaare
Lo sakina khuda ke hawaale