Aye kaash mai bhi hota

- Ali Safdar (2004)


Aye Kash Main Bhi Hota Maidan E Kerbala Main..
Aye Kaash, Ae Kaash, Ae Kaash
Aye Kaash Me Bhi Hota Maidan e Karbala Me

Sani)

Mera Bhi Zikr Aata Quraan E Karbala Me

1) Zahra K Ladley Pe Jaan Apni Waar Deta
Tableegh-E-Mustafa Ka Karza Utaar Deta
Hur Ki Tarha Se Me bhi aada Se Jang Kar Ke
Insaniyat Ka Chehra Khoon Se Nikhaar Deta

2) Sheh Ki Taraf Jo Badhta Wo Haath Kaat Deta
Maidan-E-Jang Sara Lasho Se Baant Deta
Juz Maut Aur Kahi Bhi Jaye Ama Na Milti
Dil Zindagi Se Sab Ka Aisa Uchaat Deta

3) Nasl-E-Yazeediat Ko Aisa Sabak Sikhata
Naam-O-Nasab Bhi Apna Har Fard Bhool Jata
Sufiyanaiat Ki Aisi Mitti Kharaab Hoti
Ta Hashar Phir Na Koi Namrood Sar Uthata

4) Mola Ba Jabr-E-Qismat Dil Me Rahi Ye Hasrat
Hasil Hui Na Mujko Sarmaya-E-Shahadat
Ashk-E-Aza Ki Barish Karti Rahengoi Ankhey
Seena Zani Karunga Is Gham Me Ta Qiyamat

5) Mera Salaam Un Per Jo Tashna Lab Rahe Hein
Be Jurm Karbala Me Jin Ke Galay Kate Hein
Ghodo Se Rhound Dali Aada Ne Jin Ki Lashay
Tapti Hui Zameen Per Jo Be Kafan Pade Hein

6) Wo Shaam-E-Gham, Wo Khaimay, Wo Raat, Wo Fizaye
Bacho Ki Sehmi Sehmi Wo Muztarib Sadaye
Aulaad-E-Fatima (S.A) Par Kya Kya Sitam Na Toote
Saydaniyo Ke Sar Se Cheeni gayi Ridaye

7) ab Ran Se Aarahi Thi Awaaz-E-Istighasa
Pur Dard Kis Qadar Tha Andaaz-E-Istighasa
Shayad Na Tha Jahan Me Koi Sewaye Asgher
Hota Jo Rahe Haq Me Imdaad-E-Istighasa

8) Her Bazm Her Zabaan Per Hein Karbala Ke Charche
Ta Hasher Kam Na Honge Aal-E-Eba Ke Charche
Abbas-E-Bafawaa Se Daad-E-Wafa Jo Milti
Hote Gali Gali Me Meri Wafa Ke Charche