Haye hasan maula

- Farhan (ALI WARIS) (2018)


Zehra ka jigar paara, haider ka dulara..(2)
haye hasan maula, haye hasan maula
nikla hai tera ghar se do baar janaza
haye hasan maula
haye hasan maula..(3)

1. Joda ne jigar tukde kar daala tumhara
haider ki adawat ka liya tumse hai badla
is zulm se karbal ka aaghaaz hua tha
haye hasan maula..(3)

2. Shabbir pe aur tujhpe ek jaisa sitam tha
yaa teer janaze par, waha'n teero pe laasha
do baar hua tukde zehra ka kaleja
haye hasan maula..(3)

3. Teero se bhara laasha ghar laut ke aaya
pehchaan nahi paayi zainab tera laasha
dil thaam ke zainab ne har teer nikala
haye hasan maula..(3)

4. Tukde tha jigar tera jis tarha se maula
qasim ka badan tukde usi tarha hua tha
puche koi ummat se kya jurm tha tera
haye hasan maula..(3)

5. Chauda so(1400) baras beete ye zakhm hai taaza
farhan ho ya mazhar sab karte hai nauha
taa hashr tere ghum mein royegi ye duniya
haye hasan maula..(3)