Chale aaiye maula

- Ali Safdar (2018)


Aye yusuf e zahra..(2)
Aye yusuf e zahra zara jalwa to dikha de
aye muntaqim e karbobala parda utha de
ye khwahish e zahra hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)

taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula
Zahra ne bulaya hai chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)

1. Aap aaenge to adl se duniya ko bharenge
mazloom se  ye zalimo jabir bhi darenge
har dil ki tamanna hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)

2. Ghurbat ko meri dekh ke kuch laaye hai maula
mai ghar mein hu aur ghar mein mere aaye hai maula
kal khwaab ye dekha hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)

3. Hum hurr ki tarha aaj ki karbal mein ladenge
hum kufiyo jaisi koi harkat na karenge
kya aapko dhadka hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)

4. Purse ke liye baithe hai payghambar o haider
shehzadiye kaunain bhi hai farsh e azaa par
majlis yaha barpa hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)

5. Mayoos zamana hai dua koi nahi hai
ab qabr pe zahra ke diya koi nahi hai
veeraan madina hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)

6. Faryad kuna bint e shehenshah e madina
paani ke liye deti hai aawaaz sakina
jalta hua kurta hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)

7. Roti hai bohot khoo bhare kurte ko utha kar
kehti hai rabab aaj bhi jhule ko jhula kar
asghar mera pyaasa hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)

8. Bikhre hue tukde hai qamar waqt kada hai
be goro kafan laasha e shabbir pada hai
maula ka janaza hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)