Aao abbas
- Shahid Baltistani (2018)
Ya hussain, ya hussain..(3)
Ya kashif al karbe..Ya akhee abbas..(2)
Ya abbas, shah abbas, ya abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
Shimr sar kaatne wala hai..(2)
bachao, bachao abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
1. Karb shabbir ke chehre se hatane wale
aye mujhe ranj o musibat se chudane wale
aaj phir farz wahi apna..(2)
nibhao, nibhao abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
2. Saamne bachho ke aisa bhi kabhi hota hia
aisi gustakhi ye karta hai ke dil rota hai
shimr se aake meri zulfein..(2)
chhudao, chhudao abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
3. Kabhi khanjar ye dikhata hai kabhi hasta hai
rakh ke qur'aan pe zaanu ye laee'n baitha hai
kaun hu mai ye ise yaad..(2)
dilao, dilao abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
4. Usko karta hu ishare nahi jaati bachhi
minnatein karti hai qatil ki hamari beti
mere pehlu se sakina ko..(2)
uthao, uthao abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
5. Do sadaa aaye na maqtal mein meri maa jayi
mujh se is pyaas mein bola nahi jaata bhai
meri awaaz me awaaz..(2)
milao, milao abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
6. Jeeteji ehle harm jaa'n se guzar jayenge
zibha hote hue dekhenge to marr jayenge
uth ke parda dar e khaima ka..(2)
girao, girao abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
7. Sar qalam ho mera mujhko hai gawara bhaiyya
un ko zakhm aaye ye bardasht na hoga bhaiyya
haath garden se meri maa ke..(2)
hatao, hatao abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
8. Be rida dasht mein hojaye na meri hamsheer
aakhri baat hai phir kuch na kahega shabbir
le ke zainab ko madine..(2)
chale jao, chale jao abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
9. Laasha ek neher pe uth'ta tha kabhi girta tha
ibn e zehra jo takallum ye sada deta hai
akhri waqt hai yaseen..(2)
sunao, sunao abbas
Zere khanjar kaha mazloom ne
aao, aao abbas
Ya kashif al karbe..Ya akhee abbas