Parda e ghaib mein
- Shahid Baltistani (2018)
Haye aakhri hussain, haye aakhri hussain..(2)
haye aakhri hussain
ya hussain, shah hussain, ya hussain
parda e ghaib mein zainab ke liye rota hai
aaj bhi ek hussain tanha hai
parda e ghaib mein
Ghum e sajjad mein..(2)
dil uska aza khana hai
parda e ghaib mein..
1. Murtajiz se kabhi sunta hai wo shabbir ka ghum
tegh se puchta hai madar e besheer ka ghum
aise tanhayi mein..(2), majlis wo bapa karta hai
parda e ghaib mein
2. Khoo bhari chadar e zainab mein chupata hai unhe
choomta hai kabhi aankho'n se lagata hai unhe
baazu abbas ke ..(2), godi mein liye baitha hai
parda e ghaib mein
3. Uske darbaar mein jaa'n dene ko hazir hota
kaash ham mein bhi koi ibn e mazahir hota
dil tadap jaata hai..(2), jab mujhko khayal aata hai
hussain tanha hai..
Ya hussain, ya hussain
parda e ghaib mein
4. Misle shabbir wo akbar ke liye rota hai
khoon rote hue sughra ka wo khat padhta hai
uske seene mein bhi..(2), ek toota hua naiza hai
parda e ghaib mein
5. Dekh kar bheedh tadap jaata hai zainab ki qasam
uski aankho'n se bhi bazaar mein har ek qadam
khoon sajjad ke..(2), zakhmo ki tarha rista hai
parda e ghaib mein
6. Loriya baap ke lehje mein sunane ke liye
ek diya qabr e sakina pe jalane ke liye
shaam hoti hai to..(2), zindaan mein aajata hai
parda e ghaib mein
7. Koi daulat se koi karta hai aulad se pyaar
nusrat e haqq ke liye koi nahi hai tayyar
haye afsos ke..(2), ab saara jaha'n kufa hai
hussain tanha hai..
Ya hussain, ya hussain
parda e ghaib mein
8. Kisko awaaz de masroof hai ye saara jaha'n
uski tanhayi ki mehram hai ye gyara sadiya'n
kya takallum tumhein..(2), is dard ka andaaza hai
parda e ghaib mein zainab ke liye rota hai
aaj bhi ek hussain tanha hai
parda e ghaib mein