Maula tere matam me aksar

- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2018)



Maula tere matam me aksar duniya ke nazare roote hain,
kaabe pa udasi chayee hai, masjid ke minare roote hain,  

1) Hai Noha khona zarra zarra sehra ho Chaman me hai matam,    
Suraj ka hai moo'n utra utra aur chaand sitare roote hain,  
Maula tere---2

2) Jab sajdaye haqq me zaalim ne Talwaar chalayee haider per,
Tharrayee zariye paighambar duniya ke nazare roote hain,   
Maula tere--2

3) Jannath me bichi Hai farshe azaa Hooru'n ne kiya matam barpa,
Gash me hain padhi'n qaatu'n jina Kauser ke kinare roote hain.    
Maula tere---2

4) Shabbar ka dhahen sarwar ka gala aur choom ke Zainab ke Bazoo,
Abbas ko lipta kar Maula kyun Aaj hamare Roote hain.
Maula tere----2

5) Ab Kaun Sahara dega hame Hai Kaun Hamara aqde kosha,
Kufe ke yateem-o-miski'n sab Daman ke Pasare roote hain.   
Maula tere---2

6) Shabbir Tadapte hain Gam se aur qaak udaati hain kulsoom,
Zainab ko tasalli doo maula Sab aap ke pyare roote hain.   
Maula tere--2  

7) Mehraabo member kaa'np uthay gamgi'n hai bahut  jobreele Ami'n,
Kya boolta Qurra'n Qatl howa Qurraan ke paare roote Hain.
Maula tere--2

8) Likha hai "Asad" ne Nouha tera  Muqarib ne khuluse dil se pada,
Majlis me ye sunkar Ahle aza, Sar peet ke saare rothe hain.

Maula tere matam me aksar duniya ke Nazare roote hain--4