Zainab aseer hokar karbal se jaa rahi hai

- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2018)


Zainab aseer hokarr, karbal se jarahi jai,
Zulmo sitam ki zadd me zainab khadi howi hai-2

1) Chehra khola howa hai kaise ise chupao'n,
Dar hai mujhe kahin main gairath se marnajao'n,
Aja aye mere ghazi zainab thaki howi hai,
Zainab aseer hokarr-2

2) Anjaan hain ye rahein Waqif nahin hu'n Bhaiya,
Bachpan se aaj takk main Bazaar me na ayee,
Har be haya ki nazrein ham par rooki howi hai.
 Zainab aseer hokarr-2

3) Zalim ki har taraf se Bazaar Saj rahe hain,
Har ek taraf se ham par phattar baras rahe hain,
Rassi hai ek bara gardan bandhi howi hai.
Zainab aseer hokarr-2

4) Aalam hai bekasi ka kisko bulao'n Bhaiya,
Shano Me Jo Rasan hain kisko batao'n bhaiya,
Aabid ki bhi Hai sharm se aankhien jhoki howi hai.
Zainab aseer hokarr-2

5) Dariya se uttke ajaa Zamin meri rida ke,
Kya haal hogaya hai ek baar deyk aake,
Bazaar me hai Teri gairath khadi howi hai.
Zainab aseer hokarr-2

6) Har khadam pe bhai tu yaad araha hai,
Sarwar ki ladili ko zalim sata rahe hain,
oski rasan se haye  gardan ghatee howi hai.
Zainab aseer hokarr-2

7) Abid hai sirf Zinda bakhi koi nahi hai,
 haider ki ladili ki doshwaar zindagi hai,
Darya ki Simth meri nazrein lagi howi hai.
Zainab aseer hokarr-2

8) Jis waqt JAUN nazer,n thi sheh(a.s)ke sar ki Jaanib,
Sajjad (a.s) ne tadap kar kehne lagey MUQARRIB,
Babaa ki bhi Sharm se aankhen jhuki,n huyi hain.

Zainab aseer hokarr, karbal se jarahi hai-3