Rulate hai sakina ko

- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2018)


Andhere qaid khane ke rulate hain sakina ko,    
Har ek lamha ye sannate Darate hain sakina s.a ko,   

1) Guhar cheene Gaye jab laho Jari hai kano'n se,
Gala zakmi rasan hai badan zakmi hai durrun se,   
Tamache Ashqiya phir bhi lagate hai sakina ko.
-Andhere qaid khane ke rulate hain sakina ko-2

2) kaha zainab ne Abid se ye bachi hai bahut pyaasi,  
Khudara tashnagi kaise bhoje gi ab sakina ki,
Sitamgar khali mashkiza dikhate hain Sakina ko.
-Andhere qaid khane ke rulate hain sakina ko-2

3) kaha Abid ne RoRo kar ye hadd kardi layeeno ne,    
Bhojayee pyaas durrun se sakina ki layeeno ne,      
Tamache zakhmi galun par lagate hain sakina ko.
-Andhere qaid khane ke rulate hain sakina ko-2   

4) Sitam Ada ye dhate hain shahe dein ki yateema par,   
kabhi Abbas ka sar aur kabhi sar sheh ka dikla kar,  
Sitamgar khoon ke aanson rulate hain sakina ko.  
-Andhere qaid khane ke rulate hain sakina ko-2   
                              
5) ye kaisa qaid khana hai na chath hai aur na diware'n,   
Ye marjaigi Ghott Ghott kar Zara shamma tu mangaye'n,    
Dikha kar aank darba'n bhi darate hain sakina ko.
-Andhere qaid khane ke rulate hain sakina ko-2

6) madad ke waste Abbas ko Gahi'n bolati hai,  
Pidar ko yaad kar ke jab kabhi aanso'n bahati hai,    
Adu sar sheh ka dikla kar rulate hain sakina ko.     
-Andhere qaid khane ke rulate hain sakina ko-2

7) Bayan karti howi khamosh Bibi hogaye Jisdam,      
Daro diwaar qaid e shaam ke karne lage matam,    
Sabhanle hatkadi Abid jagate hain sakina ko.   
-Andhere qaid khane ke rulate hain sakina ko-2

8) Ajab manzar hai gam ka margayee binte shahe abraar,     
Sar apna peet kar kehne lagi ye zainabe Gamqwar,      
Sare Shabbir se haye chodate hain sakina ko.  
-Andhere qaid khane ke rulate hain sakina ko-2

9) Baha kar khoon ankhon se likha AMMAR Ye noha,
Jigar ko thaam kar Noha MUQARRIB Ne padha Apna,      
Lahed me Abide muztar Lita hain Sakina ko.
-Andhere qaid khane ke rulate Hain sakina ko-3