Umme farwa ye rokar pukari
- Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz (2018)
Umme farwa ye ro kr pukari
Mere qasim ki aati hai mehndi
Bhai behna kaha hai sab aaye
Aake haatho me mehndi rachaye
Bad nazar se illahi bachana
Maa ne mangi hain ro kr duaaen
Umme farwa ye ro kar pokari ------
Phool sehre ke yu khilkhilaye
Chaand ki tarha se jagmagaye
Sar pe saafa ho kapdo me khushbu
Bhai bhai ko dulha banaye
Umme farwa ye------
Maa ne qasim ki le kr balaee'n
Dekh li dil nashee sb adaee'n
Jo bhi armaa'n the dil k nikale
Tez tar chal rahi thi hawaee'n
Umme farwa ye------
Phool phal se sajaae hain thaale
Raham kr zindagi dene wale
Umr qasim ko lag jaye meri
Iske badle me mujhko utha le
Umme farwa ye------
Bhuka pyasa hai shabbar ka jaani
Mil saka haaye usko na paani
Laash pamaal qasim ki dekho
Khaak me mil gai ek jawani
Umme farwa ye------
Khoun me tum nahae ho beta
Surkh jode me aae ho beta
Kuch to bolo ye maa tum pe warii
Pyaas k tum satae ho beta
Umme farwa ye------
Dophar chiip gai raat aai
Jis ka khadsha tha wo baat aai
Aao baccho janaza uthao
Ran se qasim ki baraat aai
Umme farwa ye------
Ye to shabbar ka noore nazar hai
Karbala khoon me tar batar hai
Para para hai qasim ka laasha
Zulm ki inteha ye SHARARR hai
Umme farwa ye------