Baba baba kujaee

- Ali Safdar (2008)


Baba baba kujaee

(Baba baba baba Kujaee) x4

Karbobala ke sehra mein

Gunji Sakina ki ye sada

(Baba baba baba Kujaee) x4

  1. Baba tamache khati hun mein Kul ghar sadma sehta hai
  2. Khauf se asu behte hai, Aur kaanon se khun behta hai

    Daman mein hai aag lagi, Gunji Sakina ki ye sada

    (Baba baba baba Kujaee) x4

    Karbobala ke sehra mein

    Gunji Sakina ki ye sada

    (Baba baba baba Kujaee) x2

  3. Dard yateemi sar pe pari hai, Lachaari taqdeer mein hai
  4. Hath bandhe haiin phuphiyon ke, Aur bhai bhi zanjeer mein hai

    Mujhko bachata nahin koi, Gunji Sakina ki ye sada

    (Baba baba baba Kujaee) x4

    Karbobala ke sehra mein

    Gunji Sakina ki ye sada

    (Baba baba baba Kujaee) x2

  5. Pehli baar hai maqtal dekha, Rasta kaise jaanungi
  6. Be sar ke hai lashe sare, Kaise mein pehchanungi

    Baba do awaz koi, Gunji Sakina ki ye sada

    (Baba baba baba Kujaee) x4

    Karbobala ke sehra mein

    Gunji Sakina ki ye sada

    (Baba baba baba Kujaee) x2

  7. Pani deta nahin hai koi, Khu(n) ke aansu roti hu
  8. Seena tumhara yaad ata hai, Farsh-e-zamee(n) pe soti hun

    Lene mujhe ajaao abhi, Gunji Sakina ki ye sada

    (Baba baba baba Kujaee) x4

    Karbobala ke sehra mein

    Gunji Sakina ki ye sada

    (Baba baba baba Kujaee) x2

  9. Lot ke zaair ghar jaate hai(n), Mein kab ghar ko jaaoungi
  10. Kya guzri thi baba hampar, Sughra ko batlaaungi

    Jab bhi ijazat mujhe mile, Gunji Sakina ki ye sada

    (Baba baba baba Kujaee) x4

    Karbobala ke sehra mein

    Gunji Sakina ki ye sada

    (Baba baba baba Kujaee) x2

  11. Jo hai "qamar" konain ke malik, Ghurbat ke alam mein hai

Jo tatheer ke waris hai(n) wo, Ruswai ke gham mein hai

Bechadar phuphiyan hai khari, Gunji Sakina ki ye sada

(Baba baba baba Kujaee) x4

Karbobala ke sehra mein