Sakina mujhe maaf karna
- Rizwan Rizvi (2018)
Sakeena mujhe maaf karna.
Na paani pila paaya main.
Sakeena mujhe maaf karna.
Kabhi naher ki simt milne jo aana.
Tum apni kahaani chacha ko sunaana.
Hoon sharminda tumse
Bahot aaj bibi.
Kiya tumse vaada
Nibha bhi na paaya.
Nazar na mila paaya main.
Sakeena mujhe maaf karna.
Kate mere baazu
Chidi mashq teri.
Baha khoon hoton pe thee pyaas thairi.
Gira khaak par jab
Alam aye sakeena.
Na pooncho aye bibi
Jo haalat thee meri.
Na paani bacha paaya mai.
Sakeena mujhe maaf karna.
Tha teero se chalni kaleja humaara.
Magar tha nazar me
Woh chera tumhaara.
Woh khamosh nazro se sukhe labon se
Kiya tha jo tumne
Woh mujhse ishaara.
Na vaada nibha paaya mai.
Sakeena mujhe maaf karna.
Liya maine jaise hi chullu me paani.
Mujhe yaad aahe wo tashnadahani
Nazar aaye pyaason ke
Chere jo unme.
Mai Mashqeeza bhar kar
Chala leke paani.
Magar narghe me
Ghir gaya mai.
Sakeena mujhe maaf karna.
Woh haalaat the jung
Karta mai kaise.
Kate haath bibi
Sambhalta mai kaisa.
Gira khaak par ghash jo kha ke aye bibi.
Mai paani tumhaara bachaata toh kaise.
Tha majboor laachaar mai.
Sakeena mujhe maaf karna.
Aaqa se milne ki
Hasrat thee meri.
Aankho me the teer
Ghurbat thee meri.
Jo aake tha zaanu pe
Sar mera rakkha.
Yahi roke unse
Wasihat thee meri.
Na kheme me ab jaaunga mai.
Sakeena mujhe maaf karna.
Safar aankhri tha
Woh aisa humaara.
Na baazu the tan pe
Na sar tha humaara.
Chidee mashq seene se
Liptaaye bibi.
Tadapta tha saahil pe
Laasha humaara.
Na seraab kar paaya mai
Sakeena mujhe maaf karna.
Jo rizwaan ne haaye
Nauhe sunaaye.
Toh leharo se rone ki
Aayin sadaayen.
Wahin pe tadapta tha
Ghaazi ka laasha.
Sada aur armaan phir keh na paaye.
Na likh paaunga aage mai
Aye bibi hume maaf karna.........