Phir aaj mahe moharram ka chand nikla hai
- anjuman-e-janisaran-e-abbas (2016)
Phir aaj mahe moharram ka chand nikala hai
Outho hussain ke matam ka chand nikala hai
• bina e zikre shaheeda karo azadaro
• Dilo ka dard numaya karo azadaro
• Azakado mein charaga karo azadaro
• Phir apne chak gareban karo azadaro
• Phir aaj yaad e shah e tashna kaam taza karo
• Wafa ka zikr shaheedon ke naam taza karo
• Khuda ka hukm nabi ka payam taza karo
• Ghum e hussain alaihisalam taza karo
• Wafa e zayghume hyder ki yaad taza karo
• Bagah e tazim o akbar ki yaad taza karo
• Aza e fidyaye asghar ki yaad taza karo
• Rida e zainab e muztar ki yaad taza karo
• Pyambar e dosara hai shareek e bazmein aza
• Butool ayi hai lene hussain ka pursa
• Ali hai shamil e matam hasan hai nouha sara
• Phir aaj sarike muztar ho zikre ale aba