Hussain aate hai
- Afroz (Azhar Abbas) (2018)
Imambade sajao Husain aate hain,
Watan Chalo ke gharibul Watan bulate hain...
(1)
Sukoo'n kisi ko Bhi milta Hai kab Moharram me,
Watan ki khaak bulati hai jab moharram me,
Safar ki saari musibat utha k aate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain.....
(2)
Tamam aayi Hui aafato'n ko durr Kiya,
Dilon se bughz o hasad nafraton ko durr Kiya,
Husain bichde Azadaron ko milate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain....
(3)
Har eek bacche ke seene me hai Husain ka dil,
Khushi se roota Hai barjasta waaldain ka dil,
Jo chote chote se bacche Alam uthate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain.....
(4)
Julus e Sheh me chadhate hain Aastee"n apni,
Wo chote chote se baccho ki dekh Seenazani,
Farishte bacchon ko aakar gale lagate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain....
(4)
Yahi Hai bewaaye ibne Hasan k gham ka asar,
Nayi dulhan Bhi badan se utarde zewar,
Libas kaale dulhan ko pinhaye jaate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain...
(5)
Jo yaad aati hain Karbobala ki beewaye'n,
To phir suhagine'n kaise bhala sukoo'n paaye'n,
Sab apne gham ko ghame sheh me bhool jaati hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain.....
(6)
Lipat ke rota hai har eek fard jhule se,
Sukoo'n e Madar e Asgher k waaste bacche,
Wo chote chote se kuuzo'n main doodh laate hain.....
(7)
Jahan Jahan se guzarta Hai taziya sheh ka,
Jahan Jahan pe bhi padhte Hain marsiya sheh ka,
Wo saare modh gali kooche yaad aate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain.....
(8)
Har eek mimbare Shabbir khoon roota Hai,
Ghame Husain ka jis dam bayaan hota Hai,
To kis tarah se azadaar bil bilate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain.....
(9)
Hai kisko fikr moharram me roozi roti ki,
Tabarruko'n se guzarti Hai zindagi apni,
Kamate Kuch Bhi nahi hain Fakat lutate hain.....
(10)
Rasool e paak ki wo Chand si nishani par,
Jawan roote hain Akber ki nawjawani par,
Hum apne seene me Barchi ghamo'n ki khaate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain.....
(11)
Khuda Kare na moharram Watan ka choote kabhi,
Shafe'n saji rahen yuhi' mere buzurgo'n ki,
Khuluse dil se Jo farshe aza bichate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain.....
(12)
Har ek buzurg ko dekha Hai Aaha bharte hue,
Habib ibne mazahir ko yaad karte hue,
Asa ko tekh te farshe Aza pe aate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain.....
(13)
Hamari jaan Hai "Irfan"ye azadari,
Kalaam kehte hue guzre zindagi saari,
Zamane bhar ko ghame Karbala sunate hain,
Watan Chalo ke Gareebul Watan bulate hain.....