Zarozaar mai roti rahi

- Irfan Haider (2018)


Haye Sughra,(Haye haye  Sughra) x2
Haye Sughra, (Haye haye Sughra)x2

Jab qaasid e Sughra maqtal me pohoncha
Maqtal me pohoncha...
Usne dekha dasht me tanha
Dasht me tanha...
Baithe hain Sarwar
(Hathon pe lekar lashaye Akbar)x2

Dil thamke phir MAULA (A.S.) ne, tehreer padhi Sughra ki
Dukhiya ne kiya tha nauha
Baba tum bhi na aaye, bhaiya Akbar na aaye
Na aaya  mera Alamdaar.
(Zarozaar main roti rahi) x3
Nauha tha yeh sughra ka..

1)Jab sham dhale me baithi chokhat pe aakar
Nazron ko bichakar royi yeh baat kehkar
Tujhe aaj bhi raahein roti hain
Hamsheer ki baahein roti hain
Mere Akbar, mere ghamkhwar...

(Zarozaar main roti rahi) x3
Nauha tha yeh sughra ka..

2)Aur kaam mera ab kya hain aansoo bahana
Yaad aaye mujhe har lamha Asghar ka jaana
Jhoole ki hilakar doriyaa'n
Deti hu use main loriyaa'n
Mera jeena hua dushwaar.....

(Zarozaar main roti rahi) x3
Nauha tha yeh sughra ka..

3)Din raat tumhare gham me roti hain Sughra
Aye baaba chacha se kehna marti hain Sughra
Kyun duur main tumse rehti hu
Main bhi toh Sakina (s.a.) jaisi hu
Kya mujhse nahi hain pyaar......

(Zarozaar main roti rahi) x3
Nauha tha yeh sughra ka..

4)Nazron me sabhi ke chehre rehte hain baba
Kyun Aun o Mohammad mujhse roothe hain baba
Mere  Qasim o Akbar aa jaye
Sab mere baradar aa jaye
Nahi jeene se phir inkaar.....

(Zarozaar main roti rahi) x3
Nauha tha yeh sughra ka..

5)Kuch roz ki main mehmaa'n hu duniya me baba
Kya tumko gawara hain main mar jau tanha
Kuch roz agar na aayenge
Sughra ko lehad me paayenge
Mere baba,mere Sardaar.....

(Zarozaar main roti rahi) x3
Nauha tha yeh sughra ka..

6)Amma se Phuphi ZAINAB (S.A.) se keh dena baba
Tum Fateha padhne mere marqad pe aana
Akbar bhi agar saath ayega
Beemar ko chain aa jayega
Saare kunbe ki matamadaar....

(Zarozaar main roti rahi) x3
Nauha tha yeh sughra ka..

7)Jab meri lehad par pohonche Irfan o Mazhar
Dono ne diya tha pursa yeh nauha padhkar
Baba tum bhi na aaye, bhaiya Akbar na aaye
Na aaya mera Alamdaar.......

(Zarozaar main roti rahi) x3
Nauha tha yeh sughra ka..