Elahi mera bhi naam
- Ali Safdar (2008)
Elahi mera bhi naam
(Elahi) x3 Elahi mera Bhi Naam Aaye (Imam e Mehdi ke Qafle mein) x2
- (Sadaaye Ghaibat Muje Bulaaye) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main
- Imamaton Ka Safar Liye Ye imam e awwal ka qafla hai
nahi hai aasan ye saath dena ye ahl-e-maqtal ka qafla hai
(jo mard-e-hur ho wo sath aaye) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main - imam e aakhir ke qafle me jo chaahata hai shareek hona
agar ho jaa(n) ki talab to raah e imam me hai ye jaa(n) bhi khona
(lahu se apne diya jalaye) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main - wo jis ne haqq-e-ada-e-zahra ada kiya ho wo aagay aaye
wafa-e-ghazi se jis ne dars-e-wafa liya ho wo aagay aaye
(wohi wafaao(n) ko aazmae) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main - imam e aakhir ke qafle main sahabiyo ke ye dhang honge
kahi(n) Abuzar ki shaan hogi kahin pe Mesum ke rang honge
(sahabiyon se qadam milayei(n)) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main - ye qafla hai hussainiat ka yahan hidayat na ruk sake gi
yahan pe asghar ki kamsini bhi, shakawaton se na jhuk sake gi
(ke teer kha kar bhi muskurayei(n)) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main - ye kis ki aahai(n) hai(n) qafle me ye kis ke aansu(n) rawa hai logo(n)
ye kon rota hai chupke chupke, ye kon maatam kuna hai logo(n)
(ye kon kehta hai haaye haaye) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main - "hilal" aasa(n) nahi ke ham bhi imam e aakhir ke sath honge
jo log honge sarapa momin unhi ke hathon me hath honge
(wahin chalenge safei(n) banaye) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main