Phuphi amma
- Imran Mehdi (2014)
Sakina(sa) ne kaha kya hogaya aakhir Phuppi amma
Na aaye shaam me (2)
Is saal q zaayer Phuppi amma
1. Haram me inke aane se badi raunak si rehti thi
Ye jab padhte the nauha ik nadi ashko ki behti thi
Duaaein maangte the ye to mai aameen kehti thi
2. Haram veeraan hai chaaro taraf chhaya hai sannata
Azadaro k aane se behel jaata tha dil mera
Kaha hai kuch kisi khaadim ne ya hai mujhse kuch shikwa
3. Wahi daure Yazeedi(la) phir palattkar aa gaya shaayad
Yahaa'n par phir koyi Shimre sitamgar(la) aa gaya shaayad
Guluye haq pe phir zaalim ka khanjar aa gaya shaayad
4. Naa koyi maatami aaya na ab k koyi nauhakhwaa'n
Alam uththa julus aaya na koyi nazr ka saamaa'n
Musallo'n par udaaasi chhaayi hai khaamosh hai Quraa'n
5. "Raza Imran" Shehzaadi(sa) ko bas itni khabar de de
Hamari zindagi hai naam tere chaahe jab le le
Hai saare raaste hi band Bibi(sa) aaye hum kaise