Abbas ki aamad hai batane laga dariya
- Anjuman-e-masoomiya faizabad (2014)
Abbas ki aamad hi batane laga dariya
Soi hui lehero ko jagane laga dariya
Aankho me nae khwab sajane laga dariya
Dariyaa…………………………………….
(1) Vo aata hi jo saqiye kausar ka pisarhi
Bujh jae gi ab pyaas meri mujh ko khabar hi
ashq aankho se khushiyo ke bahane laga dariya
Dariyaa…………………………………….
(2) Sakkae sakina se nazar usne milaai
bachcho ki sada pyas ki phir khaemo se aai
mooh pani ki lehro me chupane laga dariya
Dariyaa…………………………………….
(3) Dariya ke jo seene pe qadam rakkha jari ne
Paani ne qadam choom liye bad ke khushi se
Gham door hua josh me aane laga dariya
Dariyaa…………………………………….
(4) Sookhi hui phir mashqe sakina nazar aai
abbas ne wo mashq jo paani me duboi
mashqeeze ko seene se laga ne laga dariya
Dariyaa…………………………………….
(5) Bas chalta to had tod ke bahar nikal aata
or pyas sakina ki wo khaeme me bujhata
majbooriya khud apni batane laga dariya
Dariyaa…………………………………….
(6) Choole labe abbas ye kehta raha paani
paani ki magar baat na abbas ne maani
nakami pe nazro ko churane laga dariya
Dariyaa…………………………………….
(7) Sar pya se ke qadmo pe bahot paani ne patka
pyaase ka irada na badalna thana badla
paani ki jagah aashq bahane laga dariya
Dariyaa…………………………………….
(8) Paani kabhi is tarhana haara tha kisi se
Jis tarha mili haar use tashna labi se
Nazron se khud apne ko girane laga dariya
Dariyaa…………………………………….
(9) Danish jo qadam pyase ne dariya se hatae
Dariya ki hare k leher thi sar apna jhukae
Gham toot pada khaak udane laga dariya
Dariyaa…………………………………….