Amma tere hussain ne sab kuch luta diya

- Syed Murtaza Abbas Hamdani (2017)


Amma tere hussain ne sab kuch luta diya

Nana se jo kiya ta wo, wada niba diya

Kitni uthayi mayate, tere hussain ne
Kitne sitam uthayi, tere hussain ne
Kitne diye jala diye, maqtal saja diya

Pyassa hun teen roz ka, gham se nidal hun
Zakmo se choor choor hun, ashur dahal hun
Lekin tumhare laal ne, jungle basa diya

Karyal jawan ki laash pe, roya tera hussain
Abbas ki juda ime, luta hai dil ka chain
Kud apne dil ko karbala, maine bana diya

Ujra hai gul sitan mere, murja gaye hai phool
Qurbanniya hussain ki, kar lijiye kubool
Kya tha ye dashte karabala, or kya bana diya

Maqtal dalo ek nazar, be sar sab badan
Pala tha jinko qod mein, ye wo hai pur mahan
Meine ajal ki god mein, sab ko sula diya

Har sakte imtehaan se, guzra tera hussain
Lekin na rahe sab se, uthra tera hussain
Bayat ke har sawaal ko, meine mita diya

Qwaabe khaleel ke liye, tabeer ban gaya
Amma mein ranjo gham ki wo, tashweer ban gaya
Umat ne nana jaan ko, ayse sila diya

Tum dekhna ke ek din, aysa bhi ayega
Hoga har ek zubaan par, noha hussain ka
Meine kuda ke deen par, ghar jo luta diya

Abbas phir hussain par, shamsheer chal gayi
Ab kya bayaan gham karu, ay mazhar abide
Gash kayega jise bhi ye, noha suna diya