Aayat e tatheer
- Rizwan Rizvi (2018)
Ya hussain sha hussain
Ayaat e tatheer ke phere mai hoga faisla
Matam e shabir karne ka hai kiska hausla
Zikre haider se maukamal hogi teri namaaz
Dil mai hai nade ali toh he milegi phir nijaat
Qabr mai aaenge tere ekdin dul dul sawaar
Us musibat se bacchaige hussaini qafela
Arsh se nade ali ke jab sada aaige
Kaanp uthegi zamee'n jab fatima aaige
Sath mai apne alam gazi ka le aaienge
Lut gaya hai karbala mai yeh hussaini qafela
Soo raha hai karbala mai fatema ka noore ain
Be khata dast mai zibha huwa hai mera hussain
Kar rahi hai fatema ro ro ke haye shor o shain
Fatema ka dil dukha ke shimr ko kya mila
Har qadam par thokare khata raha bekas imam
Saheme saheme hai wo bacche aagayi woh gham ki sham
Khaak pe baithi hai zainab jal gaye khaime tamam
Bekaso ka karwa hai yeh hussaini qafela
Roo rahey hai zikr pe kyu aaj bhi lai lo nihar
Khwaab mai rizwan rootey hai bashan zaar wo zaar
Wo aseere natwa tauk mai kyu hai khaar daar dikh raha hai aansu mai wo hussaini qafela
Ayaat e tatheer ke phere mai hoga faisla
Matam e shabir karne ka hai kiska hausla