Hum to tere azadar hai ya hussain

- Mir Abid Ali (2018)


Jaan-o-dil se hai hum tujhpe khurbaan
Ye hai pahchaan apni ye eimaa
Hum to tere azadaar hai ya hussain
Janisaar aur ghamkhaar hai ya hussain

1. Ranj-o-gham ke ho tufa ke ho rahate
Tera matam karenge har ek haal me
Roak sakti nahi hai hame gardishe
Hum to tere azadaar hai ya hussain

2. Tere akbar ke seene me barchi lagi
Ran me rote hai jannat se aakar nabi
Hai jawa laash aur tu hai ibne ali
Hum to tere azadaar hai ya hussain

3. Tu tane tanha aur lashkare ashkiya
Alkhama par hai soya tera ba wafa
Aa rahi hai ye mashk-o-alam se sada
Hum to tere azadaar hai ya hussain

4. Kitne aabid ko sadme the kitne alam
Jab dayaare sitam me lute the haram
Hai shahe do sada aye imam-e-umam
Hum to tere azadaar hai ya hussain

5. Haale dil kis se teri sakeena kahe
Sadme gurbat ke kis tarha zainab sahe
Bahre gham kyu na ankho se inke bahe
Hum to tere azadaar hai ya hussain

6. Rote hai aasma ro rahi hai zami
Zarra zarra hai tere hi gham se hazi
Koi duniya me mazloom tujhsa nahi
Hum to tere azadaar hai ya hussain

7. Pardaye gaib me hai jo tera pisar
Rota hai tere gham me wo dil thaam kar
Iske hamraah kahte hai shams-o-khamar
Hum to tere azadaar hai ya hussain

8. Darmiya ke tu hazaaro ke tha be nawa
Aati thi dam ba dam siskiyo ki sada
Rote hai tujh pe sadiyo se sab anbiya
Hum to tere azadaar hai ya hussain

9. Jab talak bhi hamaari jismo me dam
Zikr pe tere aankhe rahengi ye nam
Kahte hain matami teri khaake khasam
Hum to tere azadaar hai ya hussain

10. Wo ho tahseen ya ahsan-o-nawha gar
Naam lete hai tera hi shaam-o-sahar
Inpe karde aye maula karam ki nazar
Hum to tere azadaar hai ya hussain