Qasim e khasta tan
- Mir Abid Ali (2018)
khasim-e -khasta tan khasim-e -khasta tan
umme farwa ke armaan khalbe hasan
1. Be zara tu jo ladne adoo se gaya
Umr ka wo teri terwa saal tha
Teen din se tu pyaasa tha aye dil ruba
alkhama cheekhti hai to rota hai ban
khasim-e -khasta tan khasim-e -khasta tan
2. Almadad ammu jaa ki sada jab suni
pahunche maqtal me abbas-o-sibte nabi
Gardishe waqt ne haaye awaaz di
maahe farwa ko ban me laga hai gahan
khasim-e -khasta tan khasim-e -khasta tan
3. Kahte the dil ko thaame shahe mashraqain
laal phir do sada dhoondta hai hussain
Tum ho zakhmi to kaise mujhe aaye chain
aye mere mahle khaa aye mere seem tan
khasim-e -khasta tan khasim-e -khasta tan
4. Ro rahi thi tere haal par zindagi
dekh kar tujhko pamaal ajal cheekh uthi
Kaise uthe ga laasha tera aye jari
para para hua haaye saara badan
khasim-e -khasta tan khasim-e -khasta tan
5. Haaye kaisa nazaara tha wo hashr ka
ran me shabber ne jab bichaayi jab aba
Unki aankho me ashko ka toofaan tha tar ba tar
the tere khoo me shaahe zaman
khasim-e -khasta tan khasim-e -khasta tan
6. Zakhm kubra ke ab kaise bhar payenge
gham ke manzar hamesha hi yaad ayenge
Umr bhar ab ise khoon rulwaayenge
wo hina hato ki aur wo pairahan
khasim-e -khasta tan khasim-e -khasta tan
7. The ye khasim ke tukdo pe zainab ke bain
mujhse roota mere bhai ka noore ain
Kaise aaye ga haaye mere dil ko chain
khak-o-khoo me tu ghalta hai aye gulbadan
khasim-e -khasta tan khasim-e -khasta tan
8. Hind ho paak-o-iraan ya karbala
hai majalis ye khasim ki har jaa bapa
Rote hai lamha lamha ye arzo sama
mahwe matam hai ahsan har ek nanjuman
khasim-e -khasta tan khasim-e -khasta tan