Hussain ka ghum manaiye

- Mir Abid Ali (2018)


1. Hussain zaate azeem hai
Kareem ibne kareem hai
Isi ke khadmo me aayiye
hussain ka gham manayiye

2. Hussain hain waarise nabi
hussain hain dilbare ali
Sukoo is dar se paayiye
hussain ka gham manayiye

3. Milenge is dar se nemate
yahin se milti hai jannatein
Muraade sab leke jayiye
hussain ka gham manayiye

4. Buland hota hai martaba
dua e deti hai fathema
Aza ki majlis me aayiye
hussain ka gham manayiye

5. Hussain ibne ali ka gham
khasam khuda ki hai mohtaram
Har ek gham bhool jajiye
hussain ka gham manayiye

6. Namaaze gham ki ye shaan hai
aza ka farsh aasmaan hai
Musalla fauran bichaayiye
hussain ka gham manayiye

7. Hai karbala kabaye yaqeen
zameen aisi koi nahi
Yahi jabeene jhukayiye
hussain ka gham manayiye    

8. Yaha ki mitti me hai shifa
ye hai waseela najaat ka
Yaha  pe aankhe bichayuye
hussain ka gham manayiye

9. Aza ke aanso hai raushni
ye ashkh dete hai zindagi
Musalsil anso bahayiye
hussain ka gham manayiye

10. Uthaaye abbas ka alam
badhaayi liye bas yuhi khadam
Payaam ye dete jayiye
hussain ka gham manayiye

11. Bahega is gham me gar lahu
to peshe rab honge surkh roo
Khud apni azmat badhaayiye
hussain ka gham manayiye

12. Ye jhoola taboot aur alam
nishaniya sab hai mohtaram
Yaha sar apna jhukaayiye
hussain ka gham manayiye

13. Jawaan beta juda hua
shaheed  asgar b hi hogaya
Hai zikr pyaso ka aayiye
hussain ka gham manayiye

14. Raha na abbas sa jari
kamar hui kham hussain ki
Usi ka matam hai aayiye
hussain ka gham manayiye

15. Museebate door kijiye
hussain ka naam lijiye
Pukariye azmaayiye
hussain ka gham manayiye

16. Rasheed ki hai ye arzoo
payam goonjhi ye chaarsoo
Ye nawha sab ko sunayiye
hussain ka gham manayiye