Mujhe neend nahi aati baba
- Mir Abid Ali (2018)
Sar Aaya Jo Zindaan Mein Shahe karbobala ka
Kahne Lagi Aagoash mein Sar Leke Sakina
Amma Mujhe Sone Ke Liye Kahte Hain baba
Kis Tarha Mai Sojaao Nahi babab ka seena
Mujhe Neend Nahi Aati baba
Teri Yaad Rulati Hai Baba
1 Jab Rote Hue Ghash Aata hain ;
Mujhe Shumr Tamache Lagata hain
Kaisa Hai yateeme ka pursa ;
tere yaad rulati hai baba
2 MA behne phuphi hai bechadar;
zalim ne mere cheene gouhar
Sar par bhi nahi mere ek chadar ;
teri yaad rulati hai baba
3 Pani ki evaz me teer mila;
naavak se chida asgar ka gala
Mai pani peyungi kaise bhala;
Teri Yaad Rulati Hai Baba
4 Imdaad kare ab koun meri ;
chayi hai musibat ye kaisi
Dushvaar hua hai jeena mera;
Teri Yaad Rulati Hai Baba
5 Bachhi ka baya jab khatm hua;
zindan me ek kohram utha
Abed ne kaha inna lillah;
Teri Yaad Rulati Hai Baba
6 Hoti hai kamal aankhe purnam;
ghamkhaar hai sab mahve maatam
Zindaan se aati hai ye sada ;
Teri Yaad Rulati Hai Baba