Tanzeem e imamat ki alamdar hai zainab
- Mir Abid Ali (2018)
Tanzeeme imamat ki alamdaar hai zainab
Yu hausulaye aabide beemar hai zainab
1. Ek sadmaye paiham me giraftaar hai zainab
Bekas hai magar khaafila salaar hai zainab
2. Koofe ka wo hangaama wo baalo me chupa rukh
Be makhnaw-o-chadar sare bazaar hai zainab
3. Abbas na qasim hai na ham shakle payambar
Ab gham me bahattar ke dilafgaar hai zainab
4. Baade shahe sultaane zaman karbobala me
Islaam ki har tarha madadgaar hai zainab
5. Zainab KI zaba se ye ali bol rahe hai
Aye zarbe alam aahani deewaar hai zainab
6. Isalaam pe aa sakta nahi harf yakheenan
Baatil ke liye deen ki talwaar hai zainab
7. Beti wo ali ki hai nawaasi hai nabi ki
Kirdaar me guftaar me karrar hai zainab
8. Kyu aur kisi dar pe bhala jaaye sulaimaan
Jab uski shafa at ki bhi mukhtaar hai zainab