Sakina ne kaha baba chacha ab tak nahi aaye

- Mir Abid Ali (2018)


Sakeena ne kaha baba chacha ab tak nahi aaye
Rawa ashko ka hai darya chacha ab tak nahi aaye

1. Na mangoongi kabhi paani mere ammu se ye kahdo
Jaha ne hai sitam dhaya  chacha ab tak nahi aaye

2. Mere baba ko tanhaayi me hai ghera layino ne
Hua mera pidar tanha  chacha ab tak nahi aaye

3. Khadi hu berida aur mere mazloom baba ka
Padha hai be kafan lasha  chacha ab tak nahi aaye

4. Dara ta hai mujhe durre se zalim mere rone par
Nikal jaayega dam mera  chacha ab tak nahi aaye

5. Chine kaano se gohar aur tamaache bhi lage mujhko
Jalaya hai mera kurta chacha ab tak nahi aaye

6. Khayamat aati thi anwar jo roke kahti thi dukhiya
Bhara ghar lut gaya mera chacha ab tak nahi aaye