Ye azadari ye azakhane

- Waseem Rizvi (2011)

Ye Azadari ye azakhane , ye Azadar rahen qayem  

Jab se shabbir ke roze se mili hai(n) Aa(n)khe(n)
Bas usi din se Aza khana bani(n) hai(n) Aa(n)khe(n)
Ye Azadari ye Azakhane , ye Azadar rahe(n) qaeim 2
Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim

Ghar ko khusbu e shahe deen main basaye rakhiye
Zikre shabbier ko ho(n)to(n) pe sajaye rakhiye
Dil mai(n) matam ke charago(n) ko jalaye rakhiye
Apni Aa(n)kho(n) ko azakhana banaye rakhiye
Ham Azadaro(n) ka iman Azadari hai 
kiyo(n) ke is qaum ki pehchan Azadari hai
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2

haq o batil ki bhi pehchan Azadari hai 
deen ki fath ka ailan Azadari hai
yani millat ki nigehbaan Azadari hai
kaun kehta hai ke be jaan Azadari hai
ye to paththar ko bhi insaan banadeti hai
aur insaa(n) ko musalmaan bana deti hai
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2
Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2

Hath jab matam e sarwar me(n) uthate hai(n) ham
Chehra e dushmane dee(n) sab ko dikhate hai(n) ham
Kaun kehta hai faqt ashq bahate hai(n) ham
Hai lahoo paak hamara ye batate hai(n) ham
Ham gham e shah mai(n) jab Aah o buqa karte hai(n) 2
Qarz tableegh e risalat ka ada karte hai(n)
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2

Ham se pucho ke gham e shah se kia hasil hai 
Zikr shabbier ke raste hai(n) jina manzil hai
Ye Alag baat hai ye raah zara mushkil hai
Is tarah khoon mai(n) shabbir ka gham shamil hai
Jab kabhi yad e shahe karbobala Aati hai
Dil dharakta hai to matam ki sada Aati hai
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2
Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2

Jab bhi hota hai yahaa(n) zikre shahe karb o bala
Ye Azakhane diya karte hai(n) ruho(n) ko ghizaa
Haq baya(n) karti hai shabbir pe rone ki sada
Log karte hai(n) mohabbat ki namazo(n) ko ada
Jab Aazakhano(n) se Aati hai fuga(n) ki awaaz
Aisa lagta hai ke jaise ho Aaza(n) ki Aawaaz
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2
Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2

Parcham e hazrat e Abbas uthane walo(n)
Sheh ka paigham zamane ko sunane walo(n)
Apna gham bhool ke gham sheh ka manane walo(n)
Khush raho taziya khano(n) ko sajane walo(n)
Jao jao ke tumhe(n) khuld saja deti hai
Hath uthaye huwe ek bibi duwa deti hai
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2
Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2

Zindagi kaise guzari hai, kiye kia Aamaal
Lamhe kis tarha kate kaise guzare hai(n) saal
Hashr mai(n) hoga agar ulfat e sarwar ka sawal
Ashq Aa(n)kho(n) se rawa(n) hoke kahe(n) ge ahwal 
Hath shabbir ke matam ki gawahi de(n)ge
Ye Azakhane mere gham ki gawahi denge
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2
Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2
9
Aaj charche hai(n) isi baat ke insaano(n) me(n)
Ashq e gham hai ya lahoo Aa(n)kho(n) ke paimano(n) me(n)
Zikr e shabbir ho basti mai(n) ke wirano(n) mei(n)
Aasma(n) wale bhi Aate hai(n) Azakhano(n) me(n)
Dekho har simt se khushbu e jina(n) Aati hai
Ba Adab baithiye shabbir ki maa(n) Aati hai
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2
Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim
Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2
10
Bangayee dee(n) ki taqdeer shahadat kis ki
Aaj insa(n) ko rulati hai musibat kis ki
Ay “faseel” aaj hai duniya ko zarorat kis ki
Sach kaho sare jaha(n) par hai hukumat kis ki
Kal jaha(n) par the mehal ab waha(n) wirane hai(n)
Utne darbar nahi jitney Aaza khane hain