Karbala aur Hussain

- Shozab Abbas (2017)


KARBALA AUR HUSSAIN A.S
Ya hussain a.s ya hussain a.s karbobala(2)

Karbala haq ki ja namaz bani
Aur hussain a.s uski qibla gah bana
Karbala farsh per bahesht bani
Aur hussain uska badshah bana.       
Karbala rab ka aaena bani
Aur hussain uski jalwa gah bana
Karbala markaze hayat bani
Aur hussain uski shah rah bana

Khoon se shamma e islam ko jalati hai
Hussain ya hussain (3)
Khoon se shamma e islam ko jalati hai
Har azadar ke seene se sada aati hai

KARBALA AUR HUSSAIN A.S (4)

Rab ki rehmat ka ye ishara hai
Maa ki aagosh se pukara hai
Her hussaini ka ye irada hai
Aur zehra s.a ka bhi ye wada hai
Loriyun mein hamen madar yahi sunati hai
Har azadar ke seene se sada aati hai

KARBALA AUR HUSSAIN A.S (4)

Do hi lafzon se hai mera rishta
Do hi lafzon se hai mera nata
Do hi lafzon ka yaad hai kalma
Do hi lafzon se hai meri dunya
Do hi lafzon se meri maa mujhe behlati hai
Har azadar ke seene se sada aati hai

KARBALA AUR HUSSAIN A.S (4)

Darse insaniyat ki manzil hai
Han magar raste mein mushkil hai
Dil mera is taraf hi maeyl hai
Jaoon us paar ye mera dil hai
Meri sanson ko bus wahan ki hawa bhati hai
Har azadar ke seene se sada aati hai

KARBALA AUR HUSSAIN A.S (4)

Nara e haq hai ye shuja at hai
Ba khuda ye bhi ik ibadat hai
Jisko shabbir se mohabbat hai
Uske lehje ki ye tilawat hai
Rooh her waqt mere tan se lau lagati hai
Har azadar ke seene se sada aati hai

KARBALA AUR HUSSAIN A.S(4)

KARBALA KYA HAI WAQIYA SUNO
AAO SAB ISKA MARTABA SUNO

Karbala dars gah e aadam hai
Karbala maqtabe maqadam hai
Karbala nooh ka safeena hai
Aur ahmad ka ye madina hai
Karbala raasta najat ka hai
Aur islam ki hayat ka hai
Karbala se wafa ki rasm chali
Karbala mein najaf se aaeye ali a.s
Karbala ka ye martaba bhi suno
Isme basti hai shah ki khushbo
Iska ye martaba hai bala tar
Karbala hai musalla e sarwar
Karbala mein hussain a.s soye hain
Karbala mein rasool s.a roye hain
Isme akbar a.s ka khoon shamil hai
Yahi abbas a.s ki bhi manzil hai
Yahan ghairat ka ik zamana hai
Yahan qasim a.s ka bhi thikana hai
Karbala haq parast ki dunyan
Karbala hai wajood ka kalma
Karbala se chali aza e imam
Karbala hashr tak hai jaye imam (2)

KARBALA AUR HUSSAIN A.S (4)

HUSSAIN HUSSAIN HUSSAIN A.S (2)

YE TARRUF TO KARBALA KA THA
TAZKERA AB HUSSAIN KA HOGA

Rab ke mehboob ki zaban hussain a.s
Aur hai bolta quran hussain a.s
Khuld ka dar nabi ke chain ka hai
Ye taaruff mere hussain a.s ka hai
Haq ke raste ka her qayam hussain a.s
Ba zuban e wafa imam hussain a.s
hussain a.s ishq ka samandar hai
hussain a.s momino ka zewar hai
Inki ye baat bhi batani hai
Inki her baat bhi hi qurani hai
Zikre shabbeer se wafa karlen
Ab zara zikre karbala karlen
Karbala mein hussain a.s ka jazba
Sar kataya bachaya deene khuda
Sheh ne islam ko najat diya
Aur batil ko hans ke maar diya
Nahna asghar a.s jahan sulaya hai
Wahan islam ko bachaya hai
Jazba e deene murtuza a.s dekho
Zere khanjer khuda khuda dekho
Zulm per sheh ka khoon bhari hai
Masjidin mein azan jari hai
Maujuza shahe mashaqain ka hai
Maujuza ye mere hussain a.s ka hai (2)


KARBALA AUR HUSSAIN A.S(4)

Ya hussain a.s  Ya hussain a.s  Ya hussain a.s  Ya hussain a.s  Ya hussain a.s