Zahoor kab hoga

- Ali Safdar (2008)

Zahoor kab hoga

(Zahoor Kab Hoga) x4 (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

  1. andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga
  2. (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

  3. Tarap rahain Hain is hasrat me aaj ham mola
  4. khuda ke waste ab kijiye karam mola
    ye haal hai(n) ke nikalta hai apna dam mola

    jabeene dhundti hai aap ke qadam mola

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

    andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

  5. Tumhi Se Milne ko ham jamkaran tak pohnche
  6. jahan pe aaye ali us makan tak pohnche
    samandaron me phire har jahaan tak pohnche

    nishani hai jo teri us nishan tak pohnche

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

    andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

  7. gayi hai(n) jaisay zade pao(n) ghaibat e sughra
  8. usi tareekay se rukhsat ho gaibat e kubra
    tumhare deed ki surat yehi hai ab mola

    zamana daikhe imamat ka aakhri jalwa

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

    andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

  9. karay ge aap jo makkay se karbala ka safar
  10. hamara naam bhi ho kash farsare mehzar
    chalenge sath tumhare jo moniso yawar

    bas aisay waqt ka talib hai ye dil-e-muztar

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

    andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

  11. tumhare naam pe sadqe karain ye sar kaisay
  12. lutaye shaam-e-gharibaa(n) me apna ghar kaisa
    hamare haal hi ki pohnche tum ko khabar kaisay

    zahoor hoga tumhara yahan magar kaisay

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

    andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

  13. bulaye jaayenge akber sunane ko
  14. parenge dast bureeda alam uthane ko
    chalenge jhoolay se asghar bhi muskurane ko

    magar na jaaye ga ab koyi qaid khaane ko

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

    andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

  15. ama saron se bhi chin jai gi rida ki qasam
  16. dua kalejo se uthe ka kerbala ki qasam
    adu koyi na bacha ga yaha(n) khuda ki qasam

    katenge dast e sitam baazu-e-wafa ki qasam

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

    andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

    (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

  17. "abad" to aaj hai sarwar ke sogwaro(n) mei

khuda kare ke yehi kal ho un baharo(n) mei
paye jihad ho maqtal ke sab sawaro(n) mei

lahu "abad" ka bhi shamil ho jaanisaro(n) mei