Mat dikhana meri amma ko kaleja baba

- Haider ali shirazi jaunpuri (2011)


Waqt e aakhir shahe wala se ye akbar ne kaha
mat dikhana meri amma ko kaleja baba
dekhte hi wo tadap jayengi mera laasha
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

Waqt e aakhir shahe wala se ye akbar ne kaha
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

1. Baba seene se ani yuhi nahi niklegi
reh gayi jaake kaleje mein sitam ki barchhi
khaichte waqt nahi dekhna mera chehra
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

2. Dekhte hi mere laashe ko tadap jayegi
gar kaleja nazar aayega to marr jayegi
baba kamzor hua karta hai dil har maa ka
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

3. Ghutniyo chalte hue aaye kareeb e akbar
kis tarha jaoge aakhir meri mayyat lekar
gar kisi haal me laashe ko meri le jaana
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

4. Ek hi baar mein mayyat ko nahi lejana
baba thak jana to laashe ko kahi rakh dena
baith kar khaak pe araam zara kar lena
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

5. Jis ghadi khaime mein le jayenge mayyat meri
ek kohram bapa hoga qayamat hogi
hoga yu khoon mein dooba hua laasha mera
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

6. Wo kaha karti thi dulha bhi banaungi tumhe
ek din phulo ka sehra bhi pehnaungi tumhe
dekho seene ka mere zakhm bohot hai gehra
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

7. Rakh ke seene pe mere haath kaha tha maa ne
dasht mein dhyaan kaleje pe bhi rakhna bete
chid na jaye kahi naize se tumhara seena
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

8. Jis ghadi maa ki nigahe ho mere seene par
us ghadi rakhna kaleje ko abaa ke andar
bus ye keh dena ke ab gesuo wala na raha
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

9. Tha use naaz bohot apne ali akbar par
kis tarha dekhegi mujhpar wo sitam ka manzar
chhin na jaye kahi pardes mein noor aankho ka
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

10. Maine socha tha ke marne pe tumhare baba
baap ki laash ko dafnayega ek din beta
dasht mein maut ne zinda mujhe rehne na diya
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

11. Yaad aati hai bohot fatima sughra meri
jaane kis haal mein dukhiyari mariza hogi
kaun batlaye use marr gaya tera bhayya
mat dikhana meri amma ko kaleja baba

12. Yu mubarak na kisi maa ka muqaddar tute
maa se pardes mein jaise ali akbar chhute
gunjti reh gayi haider ye sare dasht sada
mat dikhana meri amma ko kaleja baba