Baba shaam aagaya
- Waheed Rizvi (2016)
Baba.... Baba....
Hogayi berida, waqt kaisa pada, sar khula hai mera
baba shaam aagaya
kaun hai ab mera, aye mere baba jaa'n, mai to hu bekhata
baba shaam aagaya
Hogayi berida, waqt kaisa pada, sar khula hai mera
baba shaam aagaya
1. Bekafan bhai ko chhod kar aagayi
bhai aisa ke tha jo meri zindagi..(2)
jism karbal mein hai, aur naize pe sar, bhai bhi na raha
baba shaam aagaya
2. Aap ko hai khabar kitni hairaan hu
kis tarha jaungi mai pareshaan hu..(2)
tegh hai har taraf, aur mai nange sar, aagayi berida
baba shaam aagaya
3. Kisse jaa kar bhala haal e dil mai kahu
baba imdaad ko ab sadaa kisko du..(2)
qatl rann mein hue, saare sher mere, jinka tha aasra
baba shaam aagaya
4. Dil ki hasrat thi jo puri ho na saki
haye akbar ki shadi na zainab ne ki..(2)
ilteja ye suno, marr gaya naujawaa'n, dulha ban na saka
baba shaam aagaya
5. Ghairat e sayyada mai hu binte ali
majma e aam mein hu mai kaise khadi..(2)
dekh kar berida, kyu na bhai mera, khoon roye bhala
baba shaam aagaya
6. Qabr mein bhi na asghar ko sone diya
baad marne ke bhi uspe thi ye jafa..(2)
phatt raha hai jigar, kaata zalim ne sar, ye ghazab hogaya
baba shaam aagaya