Zainab lipat ke royi
- Nasir Zaidi (2008)
zainab lipat ke royi abbas ke alam se
saydaniya thi muztar..(2)
chehre se dard gham se
zainab lipat ke....
1. Lipti hui alam se kehti thi binte zehra..(2)
kis waqt e bekasi may..(3)
abbas bichde hum se
zainab lipat ke....
2. Abbas margaye hai sunkar khabar ye sheh se..(2)
tasveere yaas o hasrat..(3)
har bibi thi alam se
zainab lipat ke....
3. Ek hashr sa bapa hai arz o sama hai larza..(2)
aah o buka ka toofa'n..(3)
uth-ta hai do haram se
zainab lipat ke....
4. Bachi ne maa se poocha kyun itna ro rahi ho..(2)
ammu nahi milenge..(3)
kya phir na aake hum se
zainab lipat ke....
5. Baba chacha kaha hai laaye ho kyun alam ko..(2)
ye poochti thi bachi..(3)
lipti shahe umam se
zainab lipat ke....
6. Bali sakina laayi lab par na al-atash bhi..(2)
sehmi bichad ke aisi..(3)
abbas se thi hasham se
zainab lipat ke....
7. Ulfat ki aur wafa ki zinda misaal bankar..(2)
mashke sakina ab bhi..(3)
hai muntaliq alam se
zainab lipat ke....
8. Bhai se bhai bichde jiska to uski haalat..(2)
dard aashna se poocho..(3)
kya thi anees e gham se
zainab lipat ke....