Maa dekh na payi ali akbar tera sehra
- Syed Ekhteyar Hussain (2016)
Maa dekh na payi ali akbar tera sehra
Tadpata hai mujhko
athara baras saaye mein zainab ne paal ke
laila lipat ke roti hai kadiyal ki laash pe
Tadpata hai mujhko mere dilbarr tera sehra
Maa dekh na payi ali akbar tera sehra..(2)
1. Armaan tha dekhu mai kabhi aisi bhi gadhiya'n
chume tere rukhsaar mehekti hui ladiya'n
kehta hai dikhade ye muqaddar tera sehra
Maa dekh na payi ali akbar tera sehra
2. Jo khwab tere byaah rachane ka tha dekha
us khwaab ki tabeer teri maut hai beta
kya khaak muqaddar hai zamee'n par tera sehra
Maa dekh na payi ali akbar tera sehra
3. Ye akhri jumlaat sughra ne likha hai
tu khair se laut aaye meri khaas dua hai
Allah dikha de ali akbar tera sehra
Maa dekh na payi ali akbar tera sehra
4. Pardes mein jaa kar mera waada ba bhulana
mujhko bhi bula lena agar byaah rachana
hai meri ummeedo ke labo'n par tera sehra
Maa dekh na payi ali akbar tera sehra
5. Uth sher mere ban ke dikha de mujhe dulha
warna teri mayyat pe mai mar jaungi bhaiyya
ashko se bana laayi hai khwahar tera sehra
Maa dekh na payi ali akbar tera sehra
6. Dekha na gaya khoon mein dooba hua seena
ye keh ke giri bhai ke laashe pe sakina
behno ki tamanna hai beradar tera sehra
Maa dekh na payi ali akbar tera sehra
7. Tu marr gaya puri na hui koi bhi hasrat
ay lakhte jigar de mujhe marne ki ijazat
mai dekh lu mayyat pe sajakar tera sehra
Maa dekh na payi ali akbar tera sehra