Baba ki kuch batein suna

- Syed Raza Abbas Zaidi (2018)


Jaane kya haadsa hai hone ko
jee bohot chahta hai rone ko

Boli ye sughra aye baad e saba
baba ki kuch baatein suna
baba ki kuch baatein sunao, batein sunao

ghabra raha hai dil mera..(2)

baba ki kuch baatein suna
baba ki kuch baatein sunao, batein sunao
boli ye sughra...


1. Mai muntazir hu baba se kehna
sab haal mera jaake batana..(2)
boli ye sughra...
dua meri leja, tu jaake hawa
baba ki kuch baatein suna
baba ki kuch baatein sunao, batein sunao

2. Bus aye hawa tu akbar se kehna
marr jaungi to aaoge bhayya..(2)
boli ye sughra...
waada kiya tha, bhula kyu diya
baba ki kuch baatein suna
baba ki kuch baatein sunao, batein sunao
boli ye sughra...

3. Baba ki khushbu mujhko sungade
kis des mein hai itna bata de..(2)
boli ye sughra...
alam tune dekha, chacha ka bata
baba ki kuch baatein suna
baba ki kuch baatein sunao, batein sunao

4. Akbar ne shaadi jis dum rachayi
sach kehna usko mai yaad aayi?..(2)
boli ye sughra...
lagta tha kaisa, wo dulha bana
baba ki kuch baatein suna
baba ki kuch baatein sunao, batein sunao

5. Asghar ko mere tum pyaar karna
wo ghutniyo ab chalta to hoga..(2)
boli ye sughra...
balaein bhi lena, use choomna
baba ki kuch baatein suna
baba ki kuch baatein sunao, batein sunao

6. Sunkar sawar ye jaati hawa ne
dekha raza jo aansu chupake..(2)
boli ye sughra...
rona hai kaisa, chupati hai kya
baba ki kuch baatein suna
baba ki kuch baatein sunao, batein sunao

Boli ye sughra aye baad e saba
baba ki kuch baatein suna