Sattar qadam ka fasla
- Syed Raza Abbas Zaidi (2018)
Haye.
Haaye sham e ghareeba'n
haye zainab..
Haye zainab ne dekha wo manzar ke hua dil betaab
ek sawaar aaya idhar daalke chehre pa naqaab
badh ke zainab ne basad jao hasham tok diya
baazu pe tham ke haath usko wahi rok diya
boli ab lootne wale yaha'n kya payenge
dekhiye bachhe mere khauf se mar jayenge
yak ba yak noor ke khaane mein jo chehra dekha
ghum o andoh bhara sakht ka yaara na raha
cheekh ek maar ke wo baap ke qadmo pe giri
hosh jab aaya to ro ro ke baya'n karne lagi
sattar qadam ka fasla, bhai behen mein tha..(2)
zainab lipat ke baap se deti rahi sada
sattar qadam ka fasla, bhai behen mein tha..(2)
1. Zalim mere hussain ke seene pe tha sawaar
gin gin ke kar raha tha wo pyaase gale pe waar
hasta tha baar baar laee'n mere bayn par..(2)
khanjar chala raha tha meri simt dekh kar
aankho'n ke saamne mere bhai ka sar kata
2. Har waar par sadayein di zehra ke chayn ne
ghazi ko tera baar pukara hussain ne
jaane batool ko bhi bachane na aaoge..(2)
bhai hamari laash uthane na aaoge
bhai ki har sadaa pe tadapta tha bawafa
3. Kya kya na dekha aapki zainab ne baba jaa'n
khanjar rawa'n tha halq pe khoo'n halq se rawa'n
takti thi apna rukh mai chupaye rida ke saath..(2)
khanjar wo saaf karta tha sheh ki abaa ke saath
bhai tha mera khaak par be jaa'n pada hua
4. Bosa gahe rasool ko jab zibha kar chuka
zulfo se sar utha liya mere hussain ka
is baat par bhi zalimo ke dil nahi bhare..(2)
saydaniyo'n ki maut ke asbaab yu kiye
sar ko dar e khayam pe laakar gira diya
5. Seene mein uske, pehlu mein, aankho'n mein teer the
peshani par bhi teer the uske lage hue
baba najaf ki simt pukara hai aapko..(2)
us waqt yaad karte the hum dono baap ko
mai kya kahu ke kaise wo sajda adaa hua
6. Jee bhar ke teer jis ghadi barsa chuke laee'n
baalo se jism shaah ka zakhma chuke laee'n
talwaar aazmate the us tanha jaan par..(2)
zakhmo pe garm ret girate the aan kar
patthar wo marta raha patthar jise mila
7. Hote the zakhmi jis ghadi amma ki ungliya'n
rokar ye bayn karte the shabbir natawa'n
aye shimr mera sar jo tu chahe kaat le..(2)
amma ka haath mujhko gale se hatane de
lekin laeen shimr ka khanjar nahi ruka
8. Jaate hue bhi dil mein sakina ka tha khayaal
wada ye humse leke gaya tha tumhara laal
rakhiyo sambhal kar ye amanat hussain ki..(2)
marte samay kuch aisi thi halat hussain ki
bus baar baar haaye sakina pukarta
9. Akbar ajeeb sham e ghareeba'n ki thi ghadi
rokar ali se kehti thi zehra ki laadli
baba mai chaah kar bhi na us waqt mar saki..(2)
jis dum badan se rooh ki parwaaz dekhi thi
mai dekhti rahi mera bhai chala gaya
sattar qadam ka fasla, bhai behen mein tha
mai bhai bhai kehti thi laasha bahan bahan..(2)