Yaad aayega abbas magar laut kar nahi
- Syed Raza Abbas Zaidi (2018)
Aye meri sakina..(2)
tum bhej to rahi ho bus itna yaad rakhna
yaad aayega abbas, magar laut kar nahi
1. Jaane ki tum ijazat inko dila rahi ho
tumko khabar nahi hai kya karne jaa rahi ho
ye jaake laut aaye mumkin nahi sakina
yaad aayega abbas, magar laut kar nahi
2. Bachpan mein inki godi gehwara tha tumhara
maa banke tumko bibi abbas ne hai paala
ro'oge jab to kiska tumko milega shaana
yaad aayega abbas, magar laut kar nahi
3. Saaya utha jo inka phir chayn na milega
phir kaun haath sar pe yu'n pyaar se rakhega
ro ro ke phir sadayein ammu ko tum na dena
yaad aayega abbas, magar laut kar nahi
4. Ye baat raaz ki hai tumko bata raha hu
zainab se aaj tak mai jisko chupa raha hu
baad inke phir mera bhi mumkin nahi hai jeena
yaad aayega abbas, magar laut kar nahi
5. Do haath khoo'n mein doobe dekho agar kahi'n to
seene se dum nikalta mehsoos hoga tumko
wo haath chum kar bus seene se tum lagana
yaad aayega abbas, magar laut kar nahi
6. Barsaat pattharo'n ki dekhi to kya karogi
thamogi haath kiska naaqe se jab girogi
taqdeer mein hai likkha bazaar e shaam jana
yaad aayega abbas, magar laut kar nahi
7. Zindaan ke andhere tanhaiyo'n ka aalam
us par sitam ye hoga dooba lahu mein parcham
ek zakhmi mashk uspar dekho to khoob rona
yaad aayega abbas, magar laut kar nahi
8. Kehti hai ye sakina 'rehan' jaise ab bhi
ammu ko mere laado mangungi ab na paani
nauha kuna raza ho jaise ke qaid khana
yaad aayega abbas, magar laut kar nahi
tum bhej to rahi ho bus itna yaad rakhna
yaad aayega abbas, magar laut kar nahi