Laash akbar ki
- Syed Raza Abbas Zaidi (2018)
Haye akbar jawa'n, mera jawa'n haye akbar jawa'n..(2)
laash akbar ki mere saath uthao amma..(2)
aake maqtal mein mera haath batao amma..(2)
haath batao amma..
laash akbar ki mere saath uthao amma
1. Guthniyo chalta hua laash talak aa to gaya
uski khushbu se mai akbar ka pata paa to gaya
dil ki quwat magar is baar mujhe chahiye hai
quwat e haider e qarraar mujhe chahiye hai
aake maqtal mein mera haath batao amma
haath batao amma..
laash akbar ki mere saath uthao amma
2. Humne socha hi kaha'n tha ke ye dina ayega
ye mera laal mere saamne mar jayega
haal jo dil ka hai amma wo batau kaise
naujawani ko zaeefi mein uthau kaise
aake maqtal mein mera haath batao amma
haath batao amma..
laash akbar ki mere saath uthao amma
3. Haath ka zor gaya dil ki tawanayi gayi
hosla toot gaya aankh se beenyi gayi
tere shabbir ka ab dil na sambhal payega
dum mera saath mein akbar ke nikal jayega
aake maqtal mein mera haath batao amma
haath batao amma..
laash akbar ki mere saath uthao amma
4. Apni tanhayi ka kya haal batau tumko
zakhm e dil khol ke kis tarha dikhau tumko
aaj pehlu pe rakha haath utha le amma
laash ko mai, mujhe aap sambhale amma
aake maqtal mein mera haath batao amma
haath batao amma..
laash akbar ki mere saath uthao amma
5. Aap sirhane pe aajaye to kuch haath bate
yaa se khaime ka safar amma tere saath kate
amma akbar ke jo seene pe nazar padti hai
jaise ek aur sina dil mein mere gadhti hai
aake maqtal mein mera haath batao amma
haath batao amma..
laash akbar ki mere saath uthao amma
6. Haye sehre ki jagah khoon hai mathe pe saja
naiza zalim ka hai is chaand se seeene pe laga
dil ke armaan ko hai khaak mein milte dekha
ediya'n khaak pe hai isko ragadte dekha
aake maqtal mein mera haath batao amma
haath batao amma..
laash akbar ki mere saath uthao amma
7. Bhai abbas jo hota to madad ko aata
laasha akbar ka mere saath mein wo uthwata
is mere sher ka laasha jo mere haath mein hai
amma ab saath mei tum ho ya khuda saath mein hai
8. Hum likhe jaate hai aur sheh ka karam bolta hai
bil yaqee'n dil ki zubaa'n mera qalam bolta hai
saari duniya mein raza sahib e tauqeer hu mai
nauhakhwani mein sare hazrat e shabbir hu mai
aake maqtal mein mera haath batao amma
haath batao amma..
laash akbar ki mere saath uthao amma
saath uthao amma..(3)