Yeh dono kate haatho ko pehchane hue hai

- Ameer Hassan Amir (2017)

Abbas Kahan Ho
Mere Abbas Kahan Ho*2

Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar
Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2

Yeh Kehke Gire khaak Par Maidaan Me Sarwar

Allah Kare Khair se Ho Mera Baradar
Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2

1)
Baazu Mere Yeh Quwwate Baazu Ke Hain Baazu
Dekha Hai Inhe Jab Se  Nahi Rukte Hain Aansu
Woh Dard Kamar Me Hai Ke Dil Par Nhi Qaabu
In Haatho'n Se Aati Hai Mere Bhai ki Khushbu*2
Jalti Huwi Reti Se Uthalo In he Dilbar

Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain
Yeh Kehke Gire khaak Par Maidaan Me Sarwar
Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2

2)
Hota Hai Qayamat Se bada Bhai Ka Gham Bhi
Us Par Yeh Sitam Haath Baradar Ke Qalam bhi
Dhoondo Zara Akbar Ke Madad Karte Hain Ham Bhi
Laasha Bhi Yahi Hoga Kahee'n Mashko Alam Bhi*2
Baba Ki Kamar  toothgayi Dasht Me Akbar

Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain
Yeh Kehke Gire khaak Par Maidaan Me Sarwar
Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2

3)
Tadpaya Bohat Bhai Ko Taaqeer Hai Meri
Kuch Bhi Na Kiya Dast me Taqreer Ne Meri
Gurbat Me Kamar todhdi Taqdeer Ne Meri
Khaime Me Bade Naaz Se Hamsheer Ne Meri*2
Taaweez Dua Ka Abhi Bandha Tha Inhi Par

Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain
Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar
Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2

4)
Armaan Mere Bhai Ke Tukdo'n me Bate Hain
Markar Bhi Mere Bhai Ke Jazbe Na Ghate Hain
Yeh Dono Kate Jo Zakhmo Se Ate Hain
Ek Sookhi Huwi Mashk Ke Bharne Me Kate Hain*2
In Haatho'n Se Lipta Hai Sakina Ka Muqaddar

Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain
Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar
Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2

5)
Yeh Haath Hain Saqqayi Ke Mansab Ka Bharosa
Baba Ki duaon Ka Yaqee'n Sab Ka bharosa
Ummeed Sakina Ki To Zainab Ka Bharosa
In Haato' n Se Wabasta Hai Ham Sab Ka Bharosa*2
Dekho To Zara Ghaur Se Hamshakle Payamabar

Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain
Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar
Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2

5)
Ham Shakle Nabi Dasht Me Baba Ki Khabar Lo
Ghash Khake Na Girjae'n Kahee Godh Me Bharlo
Aanko'n Se Tapak Ne Laga Ab Khoone Jigar Lo
Tehro Zara Inhaton Ki Pehchaan To Karlo*2
Dil Gham Se Na Phathjaen Kahee'n Seene Ke Andar

Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain
Yeh Kehke Gire khaak Par Maidaan Me Sarwar
Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2

6)
Ammu Ka Alam Dekkhe Kehti Thi Sakina
Kuch Derki Hai Pyaas Yeh Garmi Yeh Pasina
Kuch Dur The Khaime Se Abhi Shah e Madina
Do Haath Ko Liptaye Tha Shabbir Ka Seena*2
Zainab Ne Jo Dekha To Kaha Phenk Ke Chadar

Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain
Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar
Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2

7)
"Akhtar" Hai Pharere Se Aaya'n Khoon Ki Laali
Kohraam Hai "Aamir" Ke Alam Aaya Hai Khaali
Pyaso'n Ki Har Ummeed Hai Ab Tootne Wali
Do Haath Hain Haatho'n Me Liye Saayade  Aali*2
Har Bibi Se Kehti Hai Sakina Yeh Tadap kar