Tanhai hussain ki

- Ameer Hassan Amir (2017)


Tanhayi Hussain Ki*4

Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki
Ek Din Me Duniya Ujad Gayi Hai Bhai Hussain ki

1)
Do boondh bhi Paani dena saka mai apne godh ke paale ko
Mitti me sula kar aaya hun jhule me khelne waale ko
Dil khol ke banu kar himmath *2
afzayi hussain ki
Tanhayi Hussain Ki
Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki*2

2)
Akbar ke chaandh se seene me mere saamne naiza utargaya
Battees baras ka bhai mera haaton ko kata ke guzar gaya
Kyun mouth bata sooni kardi*2
 angnayi hussain ki
Tanhayi Hussain Ki
Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki*2

3)
Abid ka sahara banjaana beemar hai tum pe zaahir hai
Math hona sakina se gaafil zainab ye salaam e aakhri hai
Aawaz behen ke kaano'n se *2
 takraayi hussian ki
Tanhayi Hussain Ki
Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki*2

4)
Maidan me thokar kha khakar girtw Hai kabhi uthjaata hai
Har Ek khadam par rorokar shabbir yahi farmata hain
Tum legaye aye beta akbar *2
beenaayi hussain ki
Tanhayi Hussain Ki
Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki*2

5)
 Bochaar huwi hain teeron ki zakhmon se khoo'n tapakta hai
Ek pyaasa musafir hasrath se maidan me har su takta hai
Laashon ko sadayein deti hai *2
maajayi hussain ki
Tanhayi Hussain Ki
Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki*2

6)
 Jab pusht e farsh se girne laga ahmed ka nawasa maqtal me
Rehrehke sadayen deta tha abbas ko pyaasa maqtal me
Aagosh me bete ko lene
maa aayi hussain ki
Tanhayi Hussain Ki
Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki*2

7)
Zainab ne na socha tha ek din taqdeer pe sitam ye dhayengi
Pardes me meri aankhon ko aisa manzar dikhlaayenge
Pishaak talak lejaayenge
 balwaayi hussain ki
Tanhayi Hussain Ki
Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki*2

8)
 Banti thi kafan khake sehra har zakhm tha taaza pyaase ka
Kaandhe ko azizon ke tarsa gurbath me janaza pyaase ka
Pardes me mayyat teero'n ne
 uthwaayi hussain ki
Tanhayi Hussain Ki
Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki*2

9)
Be sar ka badan deta tha  sada roro ke sakina ay beti
Sone ke bhi khabil ab na bacha tere baap ka seena ay beti
Ye dekh ke maqtal me bachi
 chillayi hussain ki
Tanhayi Hussain Ki
Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki*2

10)
 "Akhtar" ye tasawwur mushkil hai kis haal me wo beemar jiya
Sajjad ne "aamir" ye sach hai dil bhar ke kabhi paani na piya
Jab jab bhi kabhi paani dikha
 yaad aayi hussain ki
Tanhayi Hussain Ki
Zainab Se lipat kar kehti hain tanhayi Hussain ki*2
Tanhayi Hussain ki*4