Roke kehti thi sakina
- Ameer Hassan Amir (2017)
Mere Baba *4
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2
Ya Ilahi Meri Bigdi Huwi Taqdeer Banade
Mere baba Se milade
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2
1)
Haaye Yaqoob Se Yousuf Ko Milane Wale
Kashti E Nooh Ko Toofa'n Se Bachane Wale
Dariya E Neel Me Bhi Raah Banane Wale
Shabe Meraaj Payambar Ko Bulane Wale
Ya Ilahi Meri Bigdi Huwi Taqdeer Banade
Mere baba Se milade
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2
2)
Jo huwe Zulm O Sitam Ruq pe mere Taari Hai
Mere Ruksaar Se Taaza Yeh Lahu Jaari Hai
Shumr Ka Ham Pe Sitam Karneki Tayyari Hai
Shumr Kehta Hai Ke Sajjad Ki Ab baari Hai
Ya Ilahi Meri Bigdi Huwi Taqdeer Banade
Mere baba Se milade
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2
2) Pyaas ke dard se ye khalb o jigar phat ta hai
Dil se ab baali Sakina ke dhuwan uthta hai
Be khata hum pe layee'n aake Sitam karta hai
Hum jo rote hain toh Rone pe layeen hansta hai
Ya Ilahi Meri Bigdi Huwi Taqdeer Banade
Mere baba Se milade
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2
3)
Bekhata haye layeeno'n ne Sitam him pe kiya
Haye ye kaisa Sitam eak rasan baara gala
Zulm eak aur huwa sir se rida chin liye
Aur hansta hai tamashayi meri gurbath pe
Ya Ilahi Meri Bigdi Huwi Taqdeer Banade
Mere baba Se milade
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2
4)
Thi isi shehr ki eak roz kabhi shehzadi
Aaj taqdeer se zindan me bani hun khaidi
Jaise pinjre me koyi Qaid huwa ho Panchi
Waise zindaan me hain Qaid huwi hun mai bhi
Ya Ilahi Meri Bigdi Huwi Taqdeer Banade
Mere baba Se milade
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2
5)
Hai ajab haal mera zulm ko ehsaas nahi
Sab paraye hain yahan apna koyi paas nahin
Qaid se hoke riha jaawungi ab aas nahi
Jis pe tha sab ko bharosa wahi abbas nahi
Ya Ilahi Meri Bigdi Huwi Taqdeer Banade
Mere baba Se milade
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2
6)
Gar mai baba na chacha bhai se mil paawungi
Jo huwe mujhe pe Sitam kis se mai batlawungi
Apne baba ki mai furqath me hi marjaawungi
Khali jhule se hi dil kaise mai behlawungi
Ya Ilahi Meri Bigdi Huwi Taqdeer Banade
Mere baba Se milade
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2
7)
Haye humshakle payamber mera Akbar na raha
Phasliyon wala mera nehna sa Asgar na raha
Haaye wo bhai mera Qasim o mustar naraha
Koi imdad ko ab moniso yaawar na raha
Ya Ilahi Meri Bigdi Huwi Taqdeer Banade
Mere baba Se milade
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2
8)
Haaye "Alam" Jo Sakina yeh Dua karti thi
Aasaman rota tha zinda ki zamee'n Hilti thi
Apne baba ke judayi me Wo jaa'n Khoti thi
Karke "Aamir" Yeh dua bacchi bohat roti thi
Ya Ilahi Meri Bigdi Huwi Taqdeer Banade
Mere baba Se milade
Roke Ke Kehti Thi Sakina
Mere Baba se Milade*2