Yaad sughra ko baradar

- Shajar Naqvi (2017)


Yaad sughra ko baradar ki bahot aati hai
Rab hi jaane ke wo jeeti hai ke mar jaati hai
 
 
Bhai pardes me hai aur watan me hai bahen
Ya ke jakdi huii furqat ki rasan me hai bahen
Door bhai se ho khwahar to bikhar jaati hai
 
Vaada aane ka kiya tha to na aaye kyunkar
Kya huwa kuch to khabar dijiye bhai akbar
Dekhu qismat mujhe kab aapse milvati hai
 
Bhayya akbar Ali asghar ko bhi lekar aana
Tumko sughra ne bulaya hai ye us se kahna
Har nafas uski ada rooh ko tadpati hai
 
Bhayya kis haal me sughra hai khabar hai tumko
Bhayya gar tum nahi aate to mujhe bulva lo
Hijr ki aag jigar ko mere jhulsati hai
 
Bhayya amma ko meri yaad nahi aati kya
Unko malum nahi haal hai kya beti ka
Sughra tanhayi ke aalam me hai ghabrati hai
 
Bhayya jab aapke qadmo ke nisha.n dekhti hu.n
Chikh ke roti hu.n aankho se use chumti hu.n
Aapki shakl nigaho.n me ubhar aati hai
 
Bhayya mai roti hu.n nana ki lahed par jaa kar
Unse kahti hu.n salamat rahe mera akbar
Kho ke bhai ko bahen bhi kahan jee paati hai
 
Bhayya kya baat hai ab khwab me bhi aate nahi
Bhayya kyu roothe ho khwahar se ye batlate nahi
Bhayya kya mere bina zeest tumhe bhaati hai
 
Bhayya pardes me rakhna mere baba ka khayal
Meri janib se na hargiz ho unhe koi malal
Unse mat kahna ke sughra tumhe yaad aati hai
 
Haan meri baali sakina ko sambhale rakhna
Usko har ek aziyat se bachaye rakhna
Bhayya bin uske mujhe nind nahi aati hai
 
Bhayya pardes me shadi na rachana hargiz
Is bahen ke bina sehra na sajana hargiz
Ye bahen dil ko is armaan se bahlati hai
 
Jab bhi nauha ye sunate hain Azim aur shajar
Ashk aankho se bahate hain azim aur shajar
Haan ye roodade alam khoo.n se likhi jaati hai