Maa(n)
- Farhan (ALI WARIS) (2009)
Maa(n)
Haaye, Ghore se jab zameen par
Aye shahe zaman
Dekha ke ban me fatema zehra he mojizan
Are balon se jharti he zamee(n) qatlagah ki
Madar ko dekha aur ye maula
ne aah ki
(Maa) x2 dekh meine (sab luta
diya) x3
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
1.
Sehra ko apne khun
se meine basa diya
Jo karsaka na koi woh karke
dikha diya
Lashon se meine dashte bayabaa(n) sajadiya
Bachpan mein who jo wada kiya
tha nibhadiya
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
2.
Khaak aur khoo(n) mein
jalta badan dekhle mera
Barbaad ho chuka he chaman dekhle mera
Kaante pare huwe hein dahan dekhle
mera
Dil muztarib he aisa ke jaise
bhujadiya
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
3.
Who dekho hum shabihe payambar ki laash ko
Tukre pare hein qasime muztar ke
dekhlo
Asghar ki qabr dashte bayabaa(n)
mein dekhlo
Zainab ke laadlo(n) ko bhi
ban me suladiya
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
4.
Ghore se jab zameen pe aya
jawaan pisar
Mein ban me aya thokre khata bachashme tar
Barchi ka phal jo khencha to tukre
huwa jigar
Is gham ne jeeteji mujhe lasha bana
diya
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
5.
Aisa huwa shaheed who qasim sa nek
naam
Tukron mein bat ke rehgaya us ka badan tamam
Qasim ki maa ke azm
ko meine kiya salam
Marne ke waste use dulha banadiya
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
6.
Teere sitam tha ek
magar zakhmi kargaya
Asghar ka halq maa ka kaleja jigar
mera
Asghar ko leke khaime me wapis na ja
saka
Is karbala ki god mein usko chhupa
diya
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
7.
Qurban mujhpe hogaye zainab
ke ladle
Meri nazar mein yeh bhi
to Akbar se kam ne the
Laashe utha ke dono ke
laaya jo dasht se
Zainab ki khamshi ne ye nauha suna diya
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
8.
Amma tere hussain ka woh pehla jaanisaar
Jo fitratan bhi hur tha huwa
akse aashkar
Ghazi ki tarha hur ke liye
mein hun sogwaar
Hur jaise bawafaa ko bhi
meine gawadiya
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
9.
Amma gayi he furqate abbas tor kar
Zainab ki aas pyason ka dil
aur meri kamar
Lipti alam se baali Sakina he nawhagar
Bhai ke gham
ne mujhko yahi marsiya diya
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
10.
Apne pisar ke khu(n)
se wuzu kar chukka husain
Laasho(n) se karbala ki zamee(n) bhar
chukka husain
Subha se kitni baar yaha(n) marchuka
hussain
Aaghosh mein sulade ghamo(n) ne thaka diya
Maa dekh meine sab luta
diya
Maa dekh meine (sab luta
diya) x2
11.
Kya mazhar abidi likhe
farhan kya pare
He kisme itni taap ke maqtal
bayan kare
Awaaz ab bhi ati he dashte
kitaal se
Is Karbala ko arshe mualla bana diya
Maa dekh meine (sab luta diya) x2