Mera beemar imam
- Sayed Shabrez (2017)
Haye ye sham ka bazar mera beemar imam
Sath hai itraate athaar mera beemar imam
Jiski ankho ne sitam shame gariban dekhan
Saniye fatema zahra ko parishaan dekhan
Ghumzada hai ye azaadar
mera beemar imam
Jiski gurbat pe haya royi hai.. Rida royi hai
Bediyaan tauke giraan khaake shifa royi hai
Har kadam jiska hai dushwar
mera beemar imam
Rubaru baba ke jo bibi kabhi ayi nahi
Aaj balwe mei khule sar hai koi bhai nahi
Paak chadar ka talabgar
mera beemar imam
Isne ghurbat k takaze ko bikharte dekha
Har qadam saniye zahra ko bhi marte dekha
Dard mando ka alamdar
mera beemar imam
Qafela roka gaya Babe sitam jab ayein
Ahle quran khule sar hai nahi hai sayein
Sath hai majmae agyaar
mera beemar imam
Jab nazar saniye zahra ki gae naize par
Na dikha noke sina par jo alamdar ka sar
Thi sadae ye lagataar
mera beemar imam
Hath jode hue kehti hai sakina bibi
Mujko baba se mila do mai dua-e-dungi
Gir gaya sunke ye ghumkhwaar
mera beemar imam
Apne sine se sakina ko lagakar yawar
Chuma matha ko balao se bachakar yawar
Khoon rota raha salaar
mera bimaar Imam