Karbobal mujhe jana hai

- Sayed Shabrez (2017)


Karbobala mujhe jaana hai.. 2

Sar ko jhukaye chak gara karbobala mujhe jana hai....

Dil ka dhadhakna kehta hai.. (hussain) 3
Farshe aza pe kehta hai (hussain)3
Bas ye sadae deta Hai(hussain)
Hae ye tamanna aae maula.... Karbobala....

Hur ki tarha jhuk jaunga (hussain) 3
Aisa muqaddar paunga(hussain) 3
Laut ke phir na aaunga(hussain) 3
Dekh ne logo ye lamha...karbobala....

Maqtal ko ankhon mei liye(hussain) 3
Tuta huwa quza thame(hussain) 3
Yaad karunga mai sadme(hussain) 3
Padhne sakina ka nauha.... Karbobala....

Bhool na pau ye manzar(hussain) 3
Khushq gale pe tha khanjar(hussain) 3
Dard hai ye dil ke andar(hussain) 3
Maula pe karne girya..... Karbobala.....

Ro ke sada zainab ne di(hussain) 3
Dekh ni hai mujhe woh dharti(hussain) 3
Dur khadi jo roti rahi(hussain) 3
Aashko ko dene hadiya.... Karbobala.....

Jis ja kaate bazu-e-jari(hussain) 3
Leke hatili me pani(hussain) 3
Puchna hai dariya se yahi(hussain) 3
Kaise gir tha shere wafa...karbobala.....

Pyaas bujha do aae maula(hussain) 3
Tishna hai yawar tera(hussain) 3
Izne  safar ho phir se ata(hussain) 3
Hai ye labo par Ek Dua.... Karbobala...