Haram e shah kuja
- Sayed Shabrez (2017)
Harame shah kuja...kucha-o-bazar kuja
Tauq-o-zanjeer kuja... Aabide bimaar kuja
Rukh madine ko kiya aur kaha Aabid ne
Majmae aam kuja itrate athar kuja
Binte zahra ka wazifha tha chale aao jari
Fauje aagyaar kuja zainabi kirdaar kujaa
Nauha quraan ke paro ne padha ro rokar
Ahle quraan kuja Ahle sitamgaar kuja
Aye ujalo tumhe rehna hai gawah mehshar me
Raahe bazar kuja hae hayadaar kuja
Jinke sajdo pe ibadaat ne kiya ho sajda
Baniye zulm kuja khuld ke mukhtar kuja
Ek sadma bhare darbar ye dekha yawar
Dukhtare shah kuja shami talabgaar kuja