Matam e akbar
- Irfan Haider (2018)
(Haye haye Ali Akbar)..(4)
HUSSAIN... HUSSAIN
Lashaye Akbar jo laye khaymo me
Phuphi ne seena o sar peet kar kiya nauha
Kohraam mach gaya..
(Ya HUSSAIN )..(6)
Haan..
(khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3)
(1)
(ZAINAB yeh bain karti thi Akbar ki laashe par)..(2)
Afsos tere............haye
Afsos tere laashe par sehra sajaya hai
(khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3)
(2)
(Aankhein toh kholo aye mere kadiyal jawa'n pisar)..(2)
Main jiteji..........haye
Main jiteji mar jaungi laila ka nauha hai
(khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3)
(3)
(Andher hogayi hai yeh duniya tumhare baad )..(2)
Laashe pe nauha .............haye
Laashe pe nauhakhwan yu ZEHRA ka beta hai
(khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3)
(4)
(Ghar ka sukoon, aankho'n ki binayi le gaye)..(2)
Ab mera kaam.........haye
Ab mera kaam bas tere laashe pe rona hai
(khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3)
(5)
(Aye laal uth bhi jaao ab behno ke waaste)..(2)
SUGHRA nahi toh.........haye
SUGHRA nahi toh kya hua BALI SAKINA hai
(khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3)
(6)
(Yeh kehke SHEH ne maanga hai malboos purana )..(2)
Akbar ke baad ..........haye
Akbar ke baad wese bhi bekaar jeena hai
(khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3)
(7)
(Akbar tumhare jaane se tanha hue HUSSAIN )..(2)
Fizza yeh bain..........haye
Fizza yeh bain karti hai SAJJAD rota hai
(khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3)
(8)
(Irfan AHLE BAIT pe kya kya guzar gayi)..(2)
Mazhar ne ek.............haye
Mazhar ne ek misre me ehwaal likha hai
(khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3)
(Ya HUSSAIN )..(8)