Izzat e mann

- Irfan Haider (2018)


Husain Husain...(4)
Ya zahra....
Ya Haider....

Shukriya fatema zahra
Shukriya Haider e qarraar
Aapne mujhko banaaya
Apne bete ka azadaar..(3)

Man misli.. mai azadar e Husain

Risaalat e mann nabawi
Wilaayat e mann alawi
Qismat e mann fatemi
Sakhawat e mann Hasani

Izzat e mann Husaini
Ghairat e mann Abbasi

1) Ye jo sharaf mujhko mila
aur kise rabb ne diya..(2)
Goondha gayaa mera khameer
usme mili khaak e shifaa..(2)
unse mujhe hai qalk kiyaa

Aab e baqaa, khaak e shifaa, zohd o sakhaa, Rab ki ataa

Risaalat e mann nabawi
Wilaayat e mann alawi
Qismat e mann fatemi
Sakhawat e mann Hasani

Izzat e mann Husaini
Ghairat e mann Abbasi

2) Khalq mujhe rabb ne kiya
sirf moharram ke liye..(2)
Aankh hai rone ke liye
haath hai maatam ke liye..(2)
Daulat e mann kya iske siwaa

Farsh e azaa, farsh e wilaa, ashq e azaa, karbobala

Risaalat e mann nabawi
Wilaayat e mann alawi
Qismat e mann fatemi
Sakhawat e mann Hasani

Izzat e mann Husaini
Ghairat e mann Abbasi

3) Seena hai kaaba e azaa
kaabe ka maulood Ali..(2)
Rabb ne jo meesaaq liya
dil me tha maujood Ali..(2)

Aur Karam mujhpar ye huwaa

Dil Jo diya, usme rakha, ishq e khuda, sheh ki azaa

Risaalat e mann nabawi
Wilaayat e mann alawi
Qismat e mann fatemi
Sakhawat e mann Hasani

Izzat e mann Husaini
Ghairat e mann Abbasi

4) Pehle waha wird kiya
sallu alaihi ya Husain..(2)
Ab ye wazeefa hai mera
sallu alaihi ya Husain..(2)

Kaam hai ye dunya me Mera

Nauha likha, nauha padha, nauha suna, kehta raha

Risaalat e mann nabawi
Wilaayat e mann alawi
Qismat e mann fatemi
Sakhawat e mann Hasani

Izzat e mann Husaini
Ghairat e mann Abbasi

5) Ishq e Ali mujhko mila
aur ghum e karbobala..(2)
Jab bhi uthey mere qadam
pohcha sar e farsh e aaza..(2)

Qaidi koi yaado'n me rahaa

Tauq e jafaa, me tha gala, kehta raha, Zain ul ebaa

Risaalat e mann nabawi
Wilaayat e mann alawi
Qismat e mann fatemi
Sakhawat e mann Hasani

Izzat e mann Husaini
Ghairat e mann Abbasi

6) Asr ka hangaam e sitam
bhool na paaunga kabhi..(2)
Reyt ke teeley pe khadi
ek behan roti rahi..(2)

Dekhi nahi phir aisi jafaa

Khushk gala, kat-ta raha, khoon baha, kehta huwa

Risaalat e mann nabawi
Wilaayat e mann alawi
Qismat e mann fatemi
Sakhawat e mann Hasani

Izzat e mann Husaini
Ghairat e mann Abbasi

7) Baad e shah e Karbobala
ahle haram qaidi bane..(2)
shaam talak aise gaye
ek rasan baara gale..(2)

Binte Ali thi mehwe bukaa

Lehje me tha Sher e khuda, mehwe buka, khutba diya

Risaalat e mann nabawi
Wilaayat e mann alawi
Qismat e mann fatemi
Sakhawat e mann Hasani

Izzat e mann Husaini
Ghairat e mann Abbasi

8) Hoti hai maula ki ataa
likhta hai Mazhar ka qalam..(2)
Mujhpey bhi Irfan e aza
hai ye shah e dee'n ka Karam..(2)

Naad e Ali jo mujhko milaa

Shukr e khuda, khoon mera, meri tarha, kehne lagaa

Risaalat e mann nabawi
Wilaayat e mann alawi
Qismat e mann fatemi
Sakhawat e mann Hasani

Izzat e mann Husaini
Ghairat e mann Abbasi

Husain... Husain... Ya zehra....